Zameenein Nabi Ki Zamana Nabi Ka
Ye Sari Khudayi Khazana Nabi Ka
Sallalla Ho Alaihi Wasallam
Na Bhoole Ga Teri Sada Ko Zamana
Utar Kar Falak Se Zameen Par Wo Ana
Wo Makke Ki Galiyon Main Khoon Main Nahana
Wo Wazn E Risalat Utha Na NABI Ka
Wo Bandon Ko Apne Khuda Se Mila Kar
Saleeqa Humein Bandagi Ka Sikha Kar
Jo Thy Darmiyan Un Butoon Ko Hata Kar
Khuda Ka He Sajda Karana Nabi Ka
Khuda Jis Se Dekhe Nabi Wo Basarat
Sune Jis Se Khaliq Nabi Wo Samaat
Mashiyat Khuda Ki Nabi Ki Mashiyat
Irada Khuda Ka Irada Nabi Ka
Salam Un Pe Jo Hain Zamane Pe Saya
Ke Un Main Khuda Ne Hai Khud Ko Basaya
Hussain O Hassan Ho Ali Ho Ke Zehra
Nabi Ki Tarhan Hai Gharana Nabi Ka
Ye Mujda Sune Hum Se Aqwam E Aalam
Ke Ab Waqt Shayad Bohat Reh Gaya Kam
Ke Ayein Sawar Is Main Hojain Ab Hum
Safeena Hua Hai Rawana Nabi Ka
Hain Naalain E Sarwar Naveed Aur Sarwar
Ghulam E Khadija Nabi Ke Hain Nokar
Dua Hai Ye Inki Jo Ho Roz E Mehshar
Tou In Par Bhi Ho Shamiyana Nabi Ka
