Dil E Batool Ke Ander Hussain Rehta Hai
Jahan Khuda Hai Wahi Par Hussain Rehta Hai
Khuda Ka Is Sa Bara Or Fakhar Kiya Hoga
Ke Us Ke Sajda Main Shab Bhar Hussain Rehta Hai
Rasool Arsh Pe Jate Hain Jis Sa Milne Ko
Usa Zamee Pe Bula Kar Hussain Rehta Hai
Khuda Talak Ho Rasayi Har Aik Banda Ki
Isi Liya Tu Zamee Par Hussain Rehta Hai
Meri Namaz Sa Isko Nikalane Walo
Nabi Ka Sajdon Main Aksar Hussain Rehta Hai
Wo Jis Ka Looh Pe Koi Pisar Likha He Nahi
Usa Bhi Sath Dila Kar Hussain Rehta Hai
Bata Raha Hai Ye Rumal e Fatima Ka Sawal
Humare Ashko Ke Undar Hussain Rehta Hai
Azan De Ke Jahan Ko Bata Gaye Akbar
Miyan e Allah O Akbar Hussain Rehta Hai
Hain Masjido Ke Brabar Main He Aza Khane
Khuda Ke Ghar Ke Brabar Hussain Rehta Hai
Namaz e Shab Main Sakoon Mangna Batata Hai
Bina Sakina Ke Muztar Hussain Rehta Hai
Har Aik Soch Ke Beemar Sa Kaho Mohsin
Hadood e Aql Sa Bahar Hussain Rehta Hai
