Kash Main Dour E Payamber Main Uthaya Jaata
Bakhuda Qadmo Main Sarkaar Ke Paya Jaata
Sath Sarkaar Ke Ghazwat Main Shamil Hota
Unki Nusrat Main Lahu Mera Bahaya Jaata
Rait Ke Zaron Main Allah Badal Deta Mujhe
Phir Mujhe Rah E Muhammad Main Bichaya Jaata
Khak Hojata Main Sarkar Ke Qadmo Ke Talay
Khak Ko Khak E Madina Main Milaya Jaata
Mil Ke Sab Log Mujhe Matti Se Gara Karte
Phir Mujhe Masjid E Nabvi Main Lagaya Jata
Kash Aye Kash Main Hota Koi Aisi Lakri
Jis Ko Sarkar Ke Mimber Main Lagaya Jaata
Unke Roze Ke Dar O Baam Sajane Ke Liye
Rozano Main Meri Ankhon Ko Lagaya Jaata
Laya Jata Sar E Darbar Aseeron Ki Tarhan
Hukam Par Unke Main Azaad Karaya Jata
Ya Utrata Main Kisi Naat Ke Misre Ban Kar
Rubaru Unke Main Unko He Sunaya Jata
Hote Us Dour Ka Qisa Koi Noor O Farhan
Aj Ke Dour Main Bachon Ko Parhaya Jaata
