Bekason Ke Madadgar Mola Ali
Juz Tere Koi Apna Sahara Nahi
Tera Dar Chor Kar Jayain Akhir Kahan
Gair Ka Dar Jabeen Ko Gawara Nahi
Aye Kabe Main Jis Dum Ali K Qadam
Muh K Bal Gir Pare But Ye Kehte Hue
Aiye Aiye Janasheen E Nabi
Ye Tumhara He Ghar Hai Hamara Nahi
Jo Ali Ka Nahi Wo Nabi Ka Nahi
Jo Nabi Ka Nahi Wo Khuda Ka Nahi
Ayy Muslman Ashab Sa Puch Le
Kya Khum Main Nabi Ne Pukara Nahi
Wo Tu Kamzarf Hai Jo Tumhe Chor Dain
Warna Mola Ali Teri Tazeem Ko
Jo Palat Kar Na Aye Wo Suraj Nahi
Or Jo Na Chaukhat Ko Chume Wo Tara Nahi
Itne Din Ho Na Paya Jo Khaibar Fatha
Tu Khuda Ke Nabi Ne Ye Akhir Kaha
Aa Bhi Jaa Aa Bhi Jaa Mere Bhai Ali
Been Tere Ab Yahan Pe koi Chara Nahi
umar Bhar Yun He Bhatke Ga Nadan Wo
Jis Ke dil Main Mohabat Ali Ki Nahi
Jis ke dil main mohabat Ali ki nahi
Uski Kasti Ka Koi Kinara Nahi
Kyun Bulandi Pa Nazaa Hai Tu Is Qadar
Main Ghulam E Ali Hun Ghulam E Ali
Ay Falak Tou Tu Kya Teri Mehfil Main Bhi
Meri Qismat Sa Koi Sitara Nahi
Lakh Tufan aye Mujha Ghum Nahi
Mere honthon Pe Hai Wirda e Nad e Ali
Jo Duboo De Bhawar Main Safina mere
Aisa Koi bhi Tufan Ka Dhara Nahi
