Ya Hussain Ya Hussain
Jahan Hairan Hai Jahan Hairaan Hai
Jahan Hairan Hai Sara Ye Kya Hai
Ye Kaisa Soze Gham Ka Silsila Hai
Ye Kiska Gham Dilon Par Chha Gaya Hai
Hussain Ibn E Ali Wo Badshah Hai
Har Qadam Dil Ki Sada Hai
Har Qadam Ye Har Jagah Hai
Har Qadam Har Dam Nara
Maula Maula Hussaina
Ya Hussain Salawatullah
Hum Haideri Hum Maatmi
Hum Karbaliye Hain Wallah
Kya Ishq Khuda Hai Wallah
Ye Aapse Hai Jana
Kya Raaz Hai Mar Kar Jeena
Is Raaz Ko Pehchana
Hairaan Hai, Qurbaan Hai
Is Baat Par Hum Khuda
Jaan O Dil Tum Par Fida
Maula Maula Hussaina
Gham Maula Hussain Tumhara
Mere Dil Ka Sahara Hai
Gham Bhool Gaye Hum Apna
Gham Yaad Tumhara Hai
Noha Parhe Maatam Kare
Gham Ye Manaye Rozana
Matami Ki Hai Sada
Maula Maula Hussaina
Suno Maula Mere Ghar Mein Tumhari Batein
Mere Ghar Main Aza Khana
Mere Ghar Main Alam Ghazi Ka
Karta Hai Sada Saya
Ye Ronake Ye Barkat Hai Aapse
Shukr Khuda Ya Hussain Rahmatullah
Jab Kahoge Ya Hussain
Jab Sunoge Ya Hussain
Dil Ko Mil Jaye Ga Chain
Yahi Sadaaye Behr O Bar
Maula Maula Hussaina
Chalo Karbala Chalo
Dar e Hussain Par Ye Sadaye Do
Waha Khuda Tu Hai Mustafa Bhi Hai
Murtaza Hassan Fatima Bhi Hai
Waha Ba Wafa Abbas Bhi Hai
Chalo Chalo Karbala Chalo
Bechain Hai Dil Mere Mola
Mujhe Paas Bulao Na
Ek Baar Tumhi Ghazi Ko
Mera Haal Sunao Na
Kehna Zara Yeh Ilteja
Puri Kare Shah e Wafa
Aana Hai Ab Karbala
Karbala Wo Kar o Bala Shoora
Wo Mashk O Alam Dariya
Wo Qasim O Akbar e Ghazi
Jalta Hua Har Khaima
Aye Karbala Tu Hi Bata
kya Kya Sitam Shah Par Hua
Haye Sakina Ke Baba
Maula Maula Hussaina
