Khush Hain Fatima o Murtaza Aa Gaye Hasan
Dosto Hai Roz Eid Ka Aa Gaye Hasan
Fatima Se Do Jahan Ka Raaj Mang Lo
Mangna Hai Jo Bhi Tum Ko Aj Mang Lo
Josh Main Hai Rehmat e Khuda Aa Gaye Hasan
Waqt Ho Gaya Faqeer e Sham Ka Tamam
Aa Gaya Hai Aj Mera Dosra Imam
Hoga Ab Qalam Se Faisla Aa Gaye Hasan
Hujra e Batool Rashk e Toor Ho Gaya
Nazil Aasmaan Se Sabz Noor Ho Gaya
Parh Chukin Jo Zohar Fatima Aa Gaye Hasan
Puri Hon Gi Sailon Ki Sab Guzarishein
Ab Karam Sakhawaton Ki Hon Gi Barishien
Rehmaton Ka Baab Khul Gaya Aa Gaye Hasan
Tana Abtari Ka Jo Nabi Ko Dete They
Aaye Hain Wo Sab Hasan Ki Deed Ke Liye
Keh Rahe Hain Unn Se Mustafa Aa Gaye Hasan
Taig Ko Qalam Ki Misal Tolta Howa
Qasim e Hasan Wiga Ke Wasta Barha
Shoor Karzar Main Utha Aa Gaye Hasan
Jane Kis Khiyal Mein Farishta Kho Gaye
Fatima Ke Ghar Main Do Rasool Ho Gaye
Ban Ke Khud Shabeeh e Mustafa Aa Gaye Hasan
Shan e Mujtaba Pe Khud Daleel Ho Gaya
Sajda e Rasool Jab Taveel Ho Gaya
Sathiyon Ne Khud Samajh Liya Aa Gaye Hasan
Kainat Mere Sath Jhomne Lagi
Ye Zameen Kuch Our Taiz Ghomne Lagi
Mir Ne Jo Jhoom Kar Kaha Aa Gaye Hasan
