Aa Ja Meri Jaan Sakina Tu Kahan Hai
Tera Baba Yahan Hai
Aise Ghabra Nahi Meri Bachi
Hai Tera Baba Tere Sath Abhi
Dhoondh Laashon Mein Ek Laash Aisi
Jiski Ik Ungli Kati Hai Beti
Sunka Sakina Ne Kaha Baba Un Haathon Se
Tum Ne Jo Tohfe Mein Mujhe Laa Kar Diye The
Shimar Wo Gohar Le Gaya Baba Kahan Ho
Khoon Mere Kaanon Se Baha Baba Kahan Ho
Meri Awaaz Sunka Aa Ja Idhar
Ho Chuka Hai Mera Badan Be Sar
Waar Itna Kiye Gaye Mujh Par
Aa Chuki Hain Meri Ragain Bahar
Aate Hue Maine Suna Keh Raha Tha Koi
Phuphiyo Ke Shano Se Meri Gardan Bandhe Gi
Chhota Hai Qadd Sab Se Mera Baba Kahan Ho
Hoga Mera Zakhmi Gala Baba Kahan Ho
Kaise Pehchaanogi Mujhe Bolo
Mil Ke Maara Hai Tere Baba Ko
Ae Meri Jaan Meri Baat Suno
Sab Se Zakhmi Badan Talaash Karo
Maar Ke Jab Tumko Laeen Khaimon Mein Aaya
Baal Mere Kheencha Mujhe Maara Tmaancha
Zakhmi Hua Chehra Mera Baba Kahan Ho
Itna Mujhe Maara Gaya, Baba Kahan Ho
Kab Se Jaagi Hai Paas Aa Mere
Aa Rahi Hogi Beta Neend Tujhe
Tu Magar Soyegi Yahan Kaise
Mera Seena Bhara Hai Teeron Se
Teer Nikaaloon Gi Mein Khud Nanha Haathon Se
Baba Magar Soongi Bas Seene Pe Tere
Ran Mein Andhera Ho Gaya Baba Kahan Ho
Seena Kahan Dhoondoon Tera Baba Kahan Ho
Pehli Manzil Hai Yeh Museebat Ki
Zulm Sehne Hain Tujhko Aur Abhi
Jo Suna Ga Tu Hai Meri Beti
Aur Mare Ga Tujhko Ayy Bibi
Aap Ki Beti Hoon Usa Jab Ye Bataya
Jaan Ke Zalim Ne Mera Daaman Jalaaya
Cheen Ke Le Gaya Rida Baba Kahan Ho
Deti Rahi Mein Yeh Sada Baba Kahan Ho
Yeh Bhi Pehchaan Hai Meri Sun Le
Jab Giraya Gaya Mujhe Zeen Se
Yoon To Talwarein Bhi Chalain Mujh Pe
Sab Se Gehre Hain Zakhm Neezon Ke
Neeze Ka Jab Naam Suna, Bolein Sakina
Is Tarah Khooli Ne Mujhe Neeza Se Maara
Chehra Ke Bal Gira Diya, Baba Kahan Ho
Yaad Bohat Aaye Chacha Baba Kahan Ho
Dhoonda Zeeshan Aur Raza Har Soo
Aayi Jis Waqt Baap Ki Khushboo
Poonch Kar Nanhay Haath Se Aansoo
Pohanchi Laashe Pe Ho Ke Beqaabu
Gham Jo Sahe Bhool Gayi Jab Dekha Manzar
Ghoron Se Paamaal Badan Aur Tha Kata Sar
Phir Na Sakina Ne Kaha Baba Kahan Ho
Uth Ke Haal Suno Baba Mera Baba Kahan Ho