Tere Baba Ka Zakhmi Lasha Baghdad Ke Pul Per Rakha Hai
Ya Imam Raza Ya Imam Raza Ya Imam Raza
Aaj Baghdad Main Koi Qaidi Hogaya Hai Riha Raza Maula
Pul Pe Tere Gareeb Baba Ka Hai Janaza Rakha Raza Maula
Aik Bibi Sirhane Bethi Hai Kis Ne Jane Usay Khabar Ki Hai
Hath Pehlu Pe Apne Rakhe Hue Aayi Hai Fatima Raza Maula
Raat Se Pul Pe Lasha Rakha Hai Jo Guzarta Hai Is Pe Hansta Hai
Be Basi Per Tumhare Baba Ki Ro Rahi Hai Qaza Raza Maula
Haal Ache Nahi Hain Mayat Ke Aaja Aijaz Se Imamat Ke
Shehr E Baghdad Se Madine Ka Hai Bohat Fasla Raza Maula
Ik Manadi Nida Ye Deta Hai Rafiziyon Ka Maula Maara Gaya
Aaj Aulad Per Muhammad Ki Waqt Kya Agaya Raza Maula
Kabhi Dadi Ko Yaad Karta Tha Kabhi Beti Ko Yaad Karta Tha
Waqt E Akhir Tha Us Ke Honton Per Fatima Fatima Raza Maula
Qaid Khane Se Pul Talak Is Ko Chand Mazdoor Le Ke Aye Hain
Beriyon Ke Nishan Gurbat Ka De Rahe Hain Pata Raza Maula
Touq Gardan Ka Paon Ki Beri Ye Takallum Sadaein Dete Hain
Inna Lillah Parh Ke Baba Ka Ab Janaza Utha Raza Maula
