Aaj Chup Ho Gayi Fatima

Apne Bacho Se Aansu Chupaye Hue
Ro Rahe Hai Ali Sar Jhukaye Hue
Ghar Hai Veeran Kaisi Ye Raat Aagayi
Ruk Chuki Hai Sadaa Haye Tasbeeh Ki
Chor Ke Chal Basi Fatima
Aaj Chup Hogayi Fatima
Har Sitam Seh Chuki Fatima

Jab Bhi Royi Hai Ye Baap Ki Yaad Mein
Log Bole Ali Fatima Se Kahe
Itna Girya Humein Sone Deta Nahi
Raat Mein Roye Ya Din Mein Roya Kare
Aye Madine Ke Logo Suno
Ab Nahi Roye Gi Fatima

Haal Apna Kisi Ko Suna Na Saki
Is Tarah Dar Gira Ke Utha Na Saki
Bas Isi Dard Ne Maar Dala Ise
Apne Mohsin Ko Bhi Ye Bacha Naa Saki
Zakhmi Pehlu Ka Ghum Bhool Kar
Sirf Roti Rahi Fatima

Paon Uthte Na Thy Itni Zakhmi Thi Woh
Apne Ghar Mein Bhi Ruk Ruk Ke Chalti Thi Woh
Uski Tooti Hui Thi Sabhi Pasliyan
Kitni Takleef Mein Saans Leti Thi Woh
Apne Baba Ke He Sheher Mein
Kitni Mazloom Thi Fatima

Ghum Se Phatta Hai Dil Ye Batate Hue
Jab Tamacha Sitamgar Ne Maara Usay
Hans Raha Tha Laeen Saamne Tha Hasan
Sakht Sadma Tha Ye Aik Maa Ke Liye
Apna Chehra Chupate Hue
Khaak Par Gir Gayi Fatima

Kab Kisi Ko Bhi Dekha Hai Is Haal Mein
Ye Zaeefa Hai Attharwe Saal Mein
Ghum Uthaye Hain Itne Kamar Jhuk Gayi
Aagayi Hai Safedi Har Ek Baal Mein
Ab Na Aakar Sataye Koi
Haan Bohot Thak Chuki Fatima

Jab Ali Ke Gale Mein Rasan Thi Bandhi
Ya Ali Keh Ke Ye Peeche Peeche Chali
Zalimo Se Ali Ko Churate Hue
Haath Par Taziyane Bhi Khaati Rahi
Haan Magar Aaj Rote Hue
Keh Rahe Hain Ali Fatima

Ghar Se Zeeshan O Farhan Mayyat Uthi
Qabr Ke Pass Jab Leke Pohche Ali
Utthe Do Haath Turbat Se Aayi Sadaa
Saunp Do Aye Ali Mujh Ko Beti Meri
Rakh Ke Turbat Mein Bole Ali
Lijiye Ya Nabi Fatima

Leave a Comment

error: Content is protected !!