Jo Haal Dil Ka Hai Na Sunoge Hussain Se
Aap Jo Dil Pe Sina Kha Ke Guzar Jayenge
Hum Jo Marte Bhi Na Howenge Tu Mar Jayenge
Jaanta Hon Ke Shujaat Hai Wirasat Teri
Apne Dada Ki Tarah Se Hai Tabiyat Teri
Tum Na Janoge Magar Baap Ki Halat Akbar
Kaise Dedu Tumhe Marne Ki Ijazat Akbar
Noor Jata Hai Tere Saath Meri Aankhon Ka
Kuch Nazar Aata Nahi Mujhko Abhi Se Beta
Jo Gaya Saath Tere Laut Ke Na Aayega
Aap Ke Saath Mera Dil Bhi Chala Jayega
Ye He Dastoor Zamane Ka Raha Hai Dilbar
Baap Marta Hai Tu Mayyat Ko Uthata Hai Pisar
Tum Diye Jaate Ho Humko Ghum e Taza Akbar
Humse Uthega Kahan Tera Janaza Akbar
Aap Ko Barchiyan Khane Ki Badi Jaldi Hai
Jaane Kyu Jaan Se Jaane Ki Badi Jaldi Hai
Thehro Thehro Ke Zara Kaare Ibadat Karlu
Aakhri Baar Mai Nana Ki Ziyarat Karlu
Ran Mein Is Baat Ka Ehsaas Meri Jaan Rahe
Laakh Ho Josh E Wigha Phir Bhi Tumhain Dhyan Rahe
Barchi Walon Pe Nazar Apni Jamaye Rakhna
Apne Seene Ko Mere Laal Bachaye Rakhna
Ek Maa Hai Ke Jise Soog Manana Hai Tera
Ek Behen Hai Ke Tera Dekh Rahi Hai Rasta
Ek Tum Ho Ke Jise Jaan Lutani Hai Abhi
Ek Hum Hai Ke Teri Laash Uthani Hai Abhi
Sab Se Anmol Khazina Ho Mere Seene Ka
Ho Sabab Aap Mere Laal Mere Jeene Ka
Saare Aalam Mein Rahe Oocha Waqar E Haider
100 Pisar Hote Tu Kar Deta Nisar E Haider
Apne Maula Ki Atao’n Se Kami Koi Nahi
Bus Raza Ek Tamanna Hai Mere Dil Mei Makee’n
Meri Mehnat Ki Mujhe Bus Ye Jaza De Maula
Jab Mera Nauha Sune Mujhko Dua De Maula
