Aaiye Aaiye Ya Imam E Zaman
Muntazir Hai Tera Ab Ye Sara Jahan
Arahi Hai Imam E Zaman Ki Sada
Ab Mere Pas Hai
Mere Dada Ali Ka Har Ek Mojza
Ab Mere Pas Hai
Mere Sar Pe Muhammad Ki Dastaar Hai
Mere Pehlu Main Haider Ki Talwar Hai
Nutke Hasnain Se Meri Guftar Hai
Mera Kirdar Zahra Ka Kirdar Hai
Panjetan Jis Main Shamil Hue Wo Kisa
Zulfiqar E Ali Hath Main Tol Kar
Ran Main Utrun Ga Ya Syeda Bol Kar
Zulm Rakh Doon Ga Matti Main Main Rol Kar
Sar Uraon Ga Aada Ke Jee Khol Kar
Meri Dadi Ki Khushiyon Ka Har Faisla
Lashkar E Shah E Deen Phir Banao Ga Main
Teen So Tera Salar Paon Ga Main
Hasrat E Jang Puri Nibhaon Ga Main
Sath Abbas Kہ Apne Laon Ga Main
Binte Zahra Ka Sab Se Bara Ba Wafa
Chand Do Neem Kar Ke Dikhaon Ga Main
Phir Se Taare Ko Dar Par Bulaon Ga Main
Kaise Palta Tha Suraj Baataon Ga Main
Murtajiz Ko Hawa Par Chalaon Ga Main
Mere Kunbe Ne Jo Mojza Bhi Kiya
Leke Quran Haqiqi Main Khud Aon Ga
Sari Tafseer Aakar Main Jhutlaon Ga
Jhoote Hafiz Hain Ye Sab Ko Batlaon Ga
Makki Madni Ki Tafreek Smjhaon Ga
Dast E Haider Ka Quran Likha Hua
Ek Manadi Yehi Hai Meri Ghaib Se
Masjidon Main Bichao Musalle Mere
Jo Na Naam E Ali Ka Tashhood Parhe
Uske Sajde Bhi Sajde Na Kehlaye Ge
Aisi Sari Namazon Ka Har Faisla
Gham Ke Ansoo Ho Ya Jashn Ki Ho Khushi
Kon Dega Kahan Kis Tarhan Hazri
Jis Ki Qismat Main Likhun Ga Main Nokri
Bas Lagaye Ga Wo Naara E Haideri
Han Wila Aur Aza Ki Jaza Aur Saza
Ye Madina Najaf Shaam Aur Karbala
Kazmain O Balad Mashad O Samrah
Mere Ajdad Ke Shehron Ka Silsila
Main Muhafiz Hoon Khud Apni Jageer Ka
Is Fidak Ki Hifazat Ka Har Silsila
Ghaib Se Keh Rahe Hain Woh Akber Yehi
Aye Azadaron Taiyar Rehna Sabhi
Aake Pehle Banao Ga Turbat Wohi
So Rahi Hai Jahan Tanha Binte Nabi
Unka Roza Banane Ki Har Ek Dua
