Abal Hassan Mola Shah e Khurasan
Zamin Aaho Raza Shafa e Roze Jaza
Ashiq e Karb o Bala Jan o Dil e Fatima
Aap Sakhi Ibn e Sakhi Aap Rauf o Rehman
Hai Tere Darbar Ki Ye Shan Nirali
Jata Nahi Hai Kabhi Yaan Se Koi Khali
Dast e Khuda Ban Ke Sada Karte Hai Sab Pe Ahsan
Parhta Hon Jis Waqt Main Anamta Alaihim
Dil Se Sada Aati Hai Aye Izzat e Qayam
Teri Wila De Ke Kiya Hum Pe Khuda Ne Ahsan
Mola Bohat Din Hoye Dekhey Huye Jannat
Phir Se Atta Kijiye Mujhe Izn e Ziyarat
Dur Haram Ankhain Hain Nam Meri Nikalti Hai Jan
Din Main Nazar Aa Gaye Mufti Ko Sitare
Bhool Gaya Yaad The Jitne Bhi Sipare
Goar Se Jab Us Ne Parha Surah e Aal e Imran
Arz Hai Ye Aap Se Aye Mola Raza Jan
Aap Ke Dada Ka Ho Kuch Hum Ko Bhi Irfan
Koi Warq Koi Sabaq Garcha Parha Dain Salman
Roz He Hum Tera Namak Khate Hain Mola
Khas Muzeef Apne Magar Tum Ne Bulaya
Hai Ye Atta Shukar e Khuda Hum Huye Tere Mehman
Kalma e Haq Qala e Tauheed e Jali Hai
Us Mein Magar Dakhile Ki Shart Ali Hai
Hai Ba Khuda Likha Huwa Dil Pe Mere Ye Farman
Qom Ki Ziyart Ko Jo Logo Kabhi Jana
Madh e Raza Jaake Kareem Ko Sunana
BiBi Tumha Degi Dua Sun Baradar Ki Shan
Hum Ko Sada Apne Mola Hai Sambhala
Ranj Sa Mushkqil Sa Balon Sa Nikala
Leke Khabar Baredegar Kijye Mushqil Asan
Jaari Hai Al e Muhmmad Ki Atain
Mir Hassan Mir Karo Tum Ye Duain
Meri Tarha Sab Per Ho Ye Bhai Behen Mehrban
