Abbas kahan ho

Bazar Main Bint E Ali Deti Thi Sada Bhai
Abbas Kaha  Ho
Sar Per Bhi Nahi Chard Lakhon Hai Tamashai
Abbas Kaha Ho

Is Alm E Gurabt Main Koi Bhi Nahi Mera
Hai Khak E Safar Sar Per Or Hath Rasan Basta
Pardas Main Zainab Ko Taqdeer Kaha Layi

Pawast Hai Naize Main Sar Shah E Shaheeda Ka
Ye Dekh Ke Ayy Ghazi Phatta  Hai Mera Seena
Mar Jaye Gi Is Ghum Main Shabir Ki Maa Jayi

Dariya Ke Kanare Tum Ada Sa  Gaye Larne
Sab Dekh Rahi Thi Main Darwaz E Khaima  Sa
Ab Jung Humari Bhi Dekho Tu Zara Bhai

Duniya Ka Sahra Hai Baba Jo Humara Hai
Musqhil Main Maqar Maine Tum Ko He  Pukara Hai
Ab Dhundti Hai Tum Ko Bhaiya Meri Beenai

Be Muns O Yawar Hai Batlaon  Kidhar Jaye
Is  Tarha Tu Jeene Sa Behtar Hai Ke Mar Jaye
Faryad Karin Kis Sa Hoti Nahi Sunwayi

Ayy Shair E Jari Meri Imdad Ko Aa Jaao
Manga Hai Kaneezi Main Zalim Ne Sakina Ko
Hai Waqt Qayamt Ka Masoom Hai Ghabrayi

Ahmed Ki Nawasi Ka Nasir Ye He Noha Tha
Na Bhai Bachy Mere Na Koi Bacha Beta
Ab Jee Ke Karogi Kya Gar Moat Nahi Ayi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *