Roab Abbas Ki Ankhon Mein Hai Haider Jaisa
Aankh Bhar Kar Jisa Dekha Hua Patthar Jaisa
Keh ke Ye Haath Alamdaar Ne Khud Rok Liya
Hurmala Tere Liye Kaafi Hai Asghar Jaisa
Teri Saqayi Ka Ejaaz Hai Abbas E Ali
Paani Milta Hai Sabilon Pe Bhi Kausar Jaisa
Kon Maidaan Main Hai Siffeen Ke Ghazi Ya Ali
Kashmakash Main Hai Khara Malik e Ashtar Jaisa
Koi Kamzarf Use Bhi Na Khuda Kehde Kahin
Ho Baho Chehra e Abbas Hai Haider Jaisa
Ungliyon Par He Utha Leta Wo Kandhe Ki Jagah
Mashk Ka Wazn Jo Hota Dar e Khaibar Jaisa
Ambiya Bol Uthe Dekh Ke Abbas Ka Noor
Sirf Haider He Bana Sakta Hai Haider Jaisa
Lashkar E Shar Pe Nazar Dal Ke Ghazi Ne Kaha
Haal Hoga Tera Firaun Ke Lashkar Jaisa
Loh E Mehfuz Ke Bhi Bas Main Nahi Hurr Ki Qasam
Likhte Hai Hazrat e Abbas Muqadar Jaisa
Hai Habib Ibn E Mazahir Ko Likhe Khat Ka Karam
Likhta Hai Midhat e Shabbir Jo Akbar Jaisa
