Abbas Alamdar Wafadar
Abbas Ka Parcham Hai Alamdar Ka Parcham
Uncha Hai Mere Syed O Sardar Ka Parcham
Parcham Mere Murshid Ka Jo Ghar Ghar Pe Laga Hai
Ye Saray Azadaro Pe Zehra Ki Ata Hai
Is Parcham e Abbas Ko Zainab Ki Dua Hai
Kaun Isko Jhukaye Ga Bhala Kis Mein Hai Yeh Dum
Ghazi Ka Sakina Se Wafa Ka Hai Ye Aalam
Parcham Se Juda Mashk Hai Na Mashk Se Parcham
Jaise Kisi Bazo Pe Ho Taveez Muqaddam
Ye Bali Sakina Ki Dua Sath Hai Har Dum
Matam Na Ruka Tha Na Ruka Hai Na Ruka Ga
Parcham Na Jhuka Tha Na Jhuka Hai Na Jhuke Ga
Har Lehza Jalooson Ki Qayadat Yeh Karega
Ho Koi Faza Koi Waba Koi Bhi Mausam
Parcham Ye Mareezo Ko Shifa Baant Raha Hai
Duniya Ko Mohabbat Ki Fiza Baant Raha Hai
Aulaad Makaan Rizq Wafa Baant Raha Hai
Kya Fikr Ho Duniya Ki Humein Kya Ho Bhala Gham
Ye Baat Hai Bachpan Ki Mujhe Yaad Abhi Bhi
Har Aath Moharram Ko Jo Baba Se Kahi Thi
Yeh Parcham e Abbas Uthana Hai Mujhe Bhi
Kuch Sath Mera Di Gaye Hai Umr Meri Kam
Manzar Ye Jalooson Mein Nazar Aata Hai Hum Ko
Tasleem Kiya Sab Ne Isi Jood O Karam Ko
Sar Jhukta Nahi Uska Utha Jo Alam Ko
Yeh Naara Lagatay Hain Kabhi Aap Kabhi Hum
Mazhar O Farhan Nazar Aayega Ek Din
Mola Ka Alam Kabay Pe Lehrayega Ek Din
Dil Fatima Zehra Ka Sukoon Paayega Ek Din
Khush Honge Bohot Dekh Ke Ye Waris e Adam
