Haye Abbas Ki Behno Ne Na Payi Chadar
Sham Tak Naize Pe Deti Thi Duhayi Chadar
Jis Ke Baba Ne Urhayi Thi Rida Kaabe Ko
Uski Beti Ko Kisi Ne Na Urhayi Chadar
Bas Yahi Kehti Thi Abbas Ke Sar Se Zainab
Mere Bhai Mere Bhai Mere Bhai Chadar
Sharm Se Chup Gayi Sajjad Ke Peeche Zainab
Hind Zindan Mein Jo Orhe Hue Ayi Chadar
Paaon Khat Dete Rahe Dur Talak Bachi Ke
Shimr Ne Aise Sakina Se Chudayi Chadar
Gir Pari Khak Pe Abbas Ki Maa Sadme Se
Apne Bazu Se Jo Zainab Ne Hatayi Chadar
Haye Rote Hue Zainab Ne Kiya Shukr E Khuda
Sar Pe Sughra Ke Nazar Jis Ghari Ayi Chadar
Zindagi Mein Na Urha Paye Magar Abid Ne
Qabr Par Bali Sakina Ke Urhayi Chadar
Mir Sajjad Jo Loota Hua Asbaab Mila
Pehle Sajjad Ne Ankhon Se Lagayi Chadar
