Abbas Ko Bulao

Jis Waqt Shaam Aaya Zainab Ka Dil Ghabraya
Bazar Mein Sitamgar Zainab Ko La Rahain Hain
Abbas Ko Bulao
Aal e Nabi Ko Zalim Dar Dar Phira Rahain Hain
Abbas Ko Bulao

Saidaniya Tu Sheh Ke Maatam Mein Ro Rahi Hain
Aur Be Haya Sitamgar Khushiyan Mana Rahain Hain

Ek Ashk Par Hain Jin Ke Dono Jahan Sadqe
Hans Hans Ke Shaam Wale Un Ko Rula Rahain Hain

Ahl e Haram Par Zalim Barsa Rahain Hain Pathar
Mazloom Sar Jhukaye Aansu Baha Rahain Hain

Be Khauf Ho Ke Zalim Ghasib Ghulaam Zade
Sheh Ki Yateem Bachi Par Zulm Dha Rahain Hain

Teshna Dahan Sakina Hasrat Se Dekhti Hai
Pani Dekh Dekh Kar Shaami Rula Rahain Hain

Beemar Saraban Se Ghabra Ke Boli Zainab
Hum Be Rida Khule Sar Darbaar Ja Rahain Hain

Ek Maa Tarap Tarap Ke Faryad Kar Rahi Hai
Sajjad Ke Sitamgar Durra Laga Rahain Hain

Phir Waqt Aa Gaya Hai Duniya Main Aaj Gohar
Ahl e Sitam Jahan Mein Phir Sar Utha Rahain Hain

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *