Abbas Ko Pukaro

Ghazi To Hai Na Unse He Kehna
Aye Duniya Walo Darr Darr Na Jao
Kya Gham Hai Tumko Aakar Sunao
Kehta Hai Alam Humse Mayoos Na Ho Ghum Se
Abbas Ko Pukaro
Ya Hazrat e Abbas Mere Gham Ki Dawa Do
Mera Bhi Koi Hai Yeh Zamane Ko Bata Do
Babul Hawaej Alamdar Alamdar
Kehta Hai Alam Humse Mayoos Na Ho Ghum Se

Duniya Se Nahi Mango, Kya Degi Tumhe Duniya
Allah Ne Rakha Hai Ummeed Ka Ek Rasta
Dehleez Se Ghazi Ki Hojao Jo Wabasta
Do Wasta Zainab Ka Phir Kaam Bane Sabka

Dil Toota Hua Ho Tu Apno Ko Bulata Hai
Dukh Apne To Har Koi Apno Se Hi Kehta Hai
Apno Ki Pareshani Apna He Samajhta Hai
Woh Sabka Sahara Hai Apno Se Bhi Pyara Hai

Ek Pyasi Bhatiji Ki Ammu Se Guzarish Hai
Hum Sabki Duao Mein Yeh Mashk Sifarish Hai
Samjho To Ataon Ki Din Raat Jo Barish Hai
Radd Hogi Dua Kaise Ammu Hai Sakina Ke

Muh Mor Liya Sabne Kya Chhod Diya Sabne
Haalat Se Tang Aake Dil Chota Nahi Karte
Abbas Ki Surat Mein Ek Aas Tu Baqi Hai
Har Gham Se Nikalega Seene Se Laga Lega

Jo Dil Pe Guzarti Hai Har Baat Batani Hai
Beemari Pareshani Sab Inko Sunani Hai
Maine To Har Ek Mannat Abbas Se Maani Hai
Mayoos Na Jaoge Jo Manga Wo Paoge

Tufan e Hawa Jisse Ghabrana Nahi Logo
Aghyar Ki Chaukhat Pe Tum Jana Nahi Logo
Tum Ne Mere Ghazi Ko Pehchana Nahi Logo
Kar Dega Mehrbani Jaisi Ho Pareshani

Har Dil Ki Muradon Ko Sunta Hai Mera Ghazi
Jo Manga Aqeede Se Deta Hai Mera Ghazi
Saath Apne Muhibbo Ke Rehta Hai Mera Ghazi
Taqdeer Ki Ho Pasti, Aajaye Jo Tang Dasti

Maslak Hai Wafadari Fitrat Mein Jalali Hai
Yeh Apni Sakhawat Mein Duniya Mein Misaali Hai
Kab Baat Faqiron Ki Is Sher Ne Taali Hai
Lab Hilne Nahi Paye Aur Jholiyan Bhar Jayein

Farhan Aqeeda Ye Maa Baap Se Paaya Hai
Abbas Ki Chaukhat Pe Sar Sab Ne Jhukaya Hai
Likh Likh Ke Zamane Ko Mazhar Ne Bataya Hai
Aajaye Koi Mushkil Ghabraye Bohot Jab Dil

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *