Abbas Sa Bhai

Hazrat Se Juda Hogaya Abbas Sa Bhai
Pardes Main Looti Gayi Haider Ki Kamayi

Sheh Ne Ye Kaha Lasha E Saqa E Haram
Baba Ki Tarhan Tum Bhi Juda Hogaye Hum Se
Do Baar Yateemi Meri Behno Pe Hai Aayi

Mazloom Se Maqtal Mein Chala He Nhi Jata
Jab Khaak Pe Girte Hain Utha Bhi Nahi Jaata
Ghazi Ki Shahadat Ne Kamar Aisi Jhukayi

Bachi Ne Kaha Shah Se Farz Apna Nibhaun
Nazdeek Agar Hai Koi Basti Tou Main Jaun
Ammu Ka Kafan Laye Gi Ammu Ki Fidayi

Abbas Ke Bachon Se Main Sharminda Rahun Ga
Maqtal Se Utha Laya Hoon Har Aik Ka Lasha
Afsos Ke Abbas Ki Mayyat Na Uthayi

Khat Khaak Pe Dete Thy Qadam Zeen Se Jis Ke
Maidan Mein Us Sher Ke Itne Hue Tukre
Sajjad Ne Chadar Mein Wo Mayyat Hai Uthayi

Darya Bhi Tarapne Laga Ye Dekh Ke Manzar
Yaad Ane Laga Seena E Hum Shakl E Payamber
Jab Mashk Kate Hath Se Mola Ne Chudayi

Sadiyo Se Hai Taari Ye Fiza Ranj O Alam Ki
Ye Chaand Jo Aujhal Hua Nazro Se Haram Ki
Phir Sani E Zehra Ne Kahan Eid Manayi

Ammu Ki Judayi Pe Bohot Roye Hain Baba
Samjhati Hai Ro Ro Ke Ye Bacho Ko Sakina
Ab Dena Nahi Koi Bhi Pani Ki Duhayi

Har Matami Seene Mein Bapa Hoga Talatum
Is Saal Tera Jana Tou Mushkil Hai Takallum
Nohe Ki Magar Karbobala Tak Hai Rasayi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *