Ahl e Haram Ka Aasra
Abbas Salar e Qafla
Sadat Ka Hai Ye Safar Uthti Nahi Koi Nazar
Ghazi Ki Ek Awaaz Par Sunsan Hai Har Reh Guzar
Aisa Bharam Ye Dabdaba Abbas Salar e Qafla
Bhiphra Hua Sher e Ali Girde Haram Hai Har Ghari
Ek Hath Hai Talwar Par Ek Main Rasan Rahwar Ki
Misle Ali Barhta Raha Abbas Salar e Qafla
Hai Sabz Saari Mehmilain Shahzadiyan Mehmil Main Hain
Samjha Rahi Hain Sab Ko Ye Zainab Tumhari Chadaren
Qaim Rahengi Ba Khuda Abbas Salar e Qafla
Hai Dhoop Main Saya Bara Ghazi Ka Hai Parcham Khula
Koi Nahi Piyasa Yahan Hai Mashk Main Pani Bhara
Hai Mutmaeen Chota Bara Abbas Salar e Qafla
Ahl e Haram Ki Aas Hai Shabbir Ko Ehsas Hai
Zor e Qamar Bazu Mera Bhai Mera Abbas Hai
Sab Ke Liye Mushkil Kusha Abbas Salar e Qafla
Zainab Ka Ye Farman Hai Koi Hawao Se Kahaye
Be Pardagi Ho Na Kahin Mehmil Ka Na Parda Hata
Han Rok Sakta Hai Hawa Abbas Salar e Qafla
Zainab Ke Lab Par Hai Sada Shukr e Nabi Shukr e Khuda
Kis Main Hai Ye Himmat Bhala Is Samt Jo Dekhe Zara
Hain Jante Ahl e Jafa Abbas Salar e Qafla
Saye Ki Tarha Sath Hai Akbar Jawan Shabbir Ke
Mahwe Tawaf e Shaheedain Zainab Ke Dono Ladle
Hamrah Zainab Ki Dua Abbas Salar e Qafla
Baqir Se Ye Kehne Lagi Bali Sakina Shah Ki
In Raaston Main Tu Hama Takleef Na Hogi Koi
Hai Sath Main Mere Chacha Abbas Salar e Qafla
Farhan Aur Mazhar Suno Jab Bhi Alam Le Kar Chalo
Ooncha Alam Ghazi Ka Hai Duniya Se Yeh Kehte Raho
Hai Qafla Shabbir Ka Abbas Salar e Qafla
