Haye Shaam Haye Abbas
Abbas Teri Behno Ko
Bazaar Mein Laaya Jata Hai
Suraj Ne Khule Sar Jisko Ghar Mein Bhi Kabhi Na Dekha
Afsos Wahi Shehzadi Balwe Mein Gai Wawaila
Zainab Ki Yaha Aamad Par Darbaar Sajaya Jaata Hai
Kis Shan Se Teri Zainab Mehmil Me Chali Thi Ghar Se
Aur Aaj Safar Par Nikli, Tu Raah Mein Patthar Barse
Be Parda Nabi Zaadi Ko Galiyon Me Phiraya Jaata Hai
Kya Tujhse Kahu Ayy Ghazi Dekhe Hai Yaha Ghum Kaise
Raaho Mein Sakina Teri Paani Ke Liye Gar Roye
Bache Ko Dikha Kar Pani Reti Pe Bahaya Jaata Hai
Be Dard Hai Be Ghairat Hai Ye Shaam Ke Rehne Waale
Aankhon Pe Pare Hai Parde Aur Inki Zaban Par Taale
Ye Chup Hai Nabi Zadi Ko Balwe Me Bulaya Jaata Hai
Ek Lamha Nahi Hai Aisa Eeza Na Koi Pohchaye
Thak Kar Wo Kahi Gar Baithe, Sajjad Ko Neend Aa Jaye
Haye Haye Zanjeer Hilakar Qaidi Ko Jagaya Jaata Hai
Dohraya Gaya Maazi Ko Hai Zulm Wohi Aur Ghum Bhi
Ummat Bhi Wohi Chehre Bhi Darbaar Wohi Aur Hum Bhi
Kal Amma Jahan Aayi Thi Ab Mujhko Bulaya Jaata Hai
Raaho Mein Kisi Manzil Par Deta Jo Hume Koi Chadar
Le Jaate Hai Phir Wo Chadar Hakim Ke Sipahi Aakar
Ek Ghum Main Teri Zainab Ko Kayi Baar Rulaya Jata Hai
Barsaat Kabhi Durro Ki Hoti Hai Kahi Sangbaari
Ayy Bhai Bata Kyun Na HoJeene Se Mujhe Bezaari
Sadaat Ko In Raaho Mein Har Gaam Sataya Jata Hai
Ye Farsh E Aza Ye Matam, Zainab Ka Qarz Hai Humpar
Duniya Se Kahe Phir Kyun Na Farhan Aur Mazhar Rokar
Jo Aale Nabi Par Guzri Nauho Mein Sunaya Jaata Hai
