Har Ik Qadam Pe Maqtal Bazar Ban Gaya Tha
Abid Ke Samne
Zahra Ki Betiyo Ko Logo Ne Itna Mara
Zahra Ki Lash Jesay Haider Kay Samne Thi
Chehr Pe Neel Tha Or Phelu Tha Jesa Zakhmi
Zindan Main Behen Ka Zakhmi Tha Esa Lasha Abid Ke Samne
Har Bibi Sochti Thi Balo Sa Muh Chupaye
Bazar Main Humara Ghamkhar Mar Na Jaye
Har Bibi Per Tha Mushkil Bazar Sa Guzarna Abid Ke Samne
Hans Hans Ke Qadiyo Ko Bazar Main Giraya
Alh E Haram Ko Esa Logo Ne Hai Sataya
Rasi Kisi Ne Khenchi Pathar Kisi Ne Mara Abid Ke Samne
Lena Hai Jis Ne Koi Badla Ali Sa Aye
Ye Hai Ali Ki Beti Aa Kar Isa Sataye
Zainab Ki Semat Fasiq Karne Laga Ishara Abid Ke Samne
Qasim Ke Sir Sa Ro Kar Dulhan Yeh Keh Rhi Thi
Rasi Main Wo Bandh Hain Jin Hatho Main Thi Mehndi
Abid Tarpta Thay Jab Karti Thi Bain Kubra Abid Ke Samne
Be Hal Thi Sakina Kha Ke Tamach Rukh Per
Or Sans Ruk Raha Tha Esa Rasan Sa Ghut Kar
Ke Jesa Chal Raha Ho Zinda Koi Janaza Abid Ke Samne
Logo Sa Bibiyo Ko Esay Bacha Rahi Thi
Har Ik Agaye Aa Ke Pathar Wo Kha Rahi Thi
Zindan Tak Asad Thi Zakhmo Sa Chor Fiza Abid Ke Samne
