Maa Zahra

Kiya Ye Zainab O Kulsoom Ne Noha Aye Maa Zehra
Sar E Darbar Batlao Hua Kya Kya Aye Maa Zehra


Suna Hai Aapko Darbar Main Pehron Khara Rakha
Ye Keh Do Jhoot Hai Zaalim Ne Tum Ko Hai Kaha Jhoota
Ye Haathon Main Hai Kis Tehreer Ka Tukra Aye Maa Zehra


Nishaan Kaise Hain Chehre Par Rida Se Jo Chupaati Ho
Nazar Hum Betiyon Ki Apne Rukh Se Kyun Hataati Ho
Batao Hogaya Rukhsaar Kyun Neela Aye Maa Zehra


Yaqeen Ata Nahi Binte Nabi Jis Waqt Roti Thi
Wahan Par Kehkahe Lagte Thy Aur Ummat Ye Hansti Thi
Tarapte Honge Manzar Dekh Kar Nana Aye Maa Zehra


Duaein Maaon Ki Khaaliq Kabhi Bhi Rad Nahi Karta
Hamare Haq Main Karna Jab Dua Tou Bas Yehi Karna
Na Ho Hum Ko Kabhi Darbar Main Jaana Aye Maa Zehra


Bus Ek Din Main Amma Aapki Haalat Ye Badli Hai
Kamar Kham Hogayi Hai Aur Baalon Main Safaidi Hai
Tumhe Ek Pal Ko Hum Ne Bhi Na Pehchaana Aye Maa Zehra


Gale Lag Jao Mere Aao Maa Ke Paas Ajaao
Meri Shehzaadiyon Main Theek Hoon Hargiz Na Ghabrao
Ye Keh Kar Tum Humara Dil Na Behlaana Aye Maa Zehra


Yehi Azlan O Mesum Betiyan Kehti Rahi Ro Kar
Tumhare Haal Se Zaahir Hai Sab Darbar Ka Manzar
Saha Jo Zulm Tum Ne Chup Nahi Sakta Aye Maa Zehra

Leave a Comment

error: Content is protected !!