Aey Mere Baba Jaan 

Us Waqt Jab Ke Zainab Darbar Main Gayi Thi
Qari Namaziyon Se Mehfil Saji Hui Thi
Zaalim Ye Puchta Tha Ghazi Tera Kahan Hai
Baalon Se Mun Chupaye Zainab Ye Keh Rahi Thi
Aey Mere Baba Jaan Ho Rahi Hai Azaan Sar Chupaun Kahan
Majma E Aam Mein Be Watan Be Amaan Agaya Karwan

Mein Bhi Hoon Marziya Bint E Khair Un Nisa
Mere Lehje Mein Hai Baba Teri Ada
Naam Zainab Mera Tu Ne Jo Rakh Diya De Di Apni Zubaan

Baba Jaan Main Rida Mangti Reh Gayi
Bam O Dar Saj Gaye Jeete Ji Mar Gayi
Halqa E Shaam Mein Naam Sun Kar Mera Mar Gaya Natawan

Ruk Na Paya Mere Ba Wafa Ka Wo Sar
Nok E Naiza Se Ane Laga Khaak Par
Behan Ko Dar Ba Dar Dekh Kar Nange Sar Seh Na Paya Jawan

Kal Thi Maa Aaj Main Bhi Hoon Darbar Main
Misl E Zahra Khari Hoon Main Aghiyar Main
Us Taraf Hai Shaqi Is Taraf Reh Gayi Be Pidar Betiyan

Sham E Ashur Se Sham O Kufa Talak
Maine Manga Nahi Hai Khiraj E Fadak
Meri Chadar Se Hai Meri Maa Ka Sukoon Sun Le Zaalim Jahan

Haath Kano Pe Hai Neel Gaalo Pe Hai
Aur Nishan Jo Sakina Ke Shaano Pe Hai
Har Nishan Se Yehi Aa Rahi Hai Sada Baba Jaan Baba Jaan

Aisa Khutba Diya Maine Darbar Main
Likh Raha Hai Jo Yawar Tere Pyaar Main
Lehja E Hyderi Har Azaa Ke Liye Hai Sada E Azan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *