Agar Hussain Tera Gham

Apne Ghamo Ko Bhool Gaya Hon Main Bakhuda
Seene Se Jab Se Mene Lagaya Gham e Hussain
Kis Mun Se Shukriya Krun Zehra Ka Mein Ada
Unke Sabab Naseeb Main Aya Gham e Hussain
Tu Salamat Rahe Humesha Gham E Hussain
Kahan Se Gham Ko Uthane Ka Housla Ata
Agar Hussain Tera Gham Na Samne Hota

Khuda Nakhuwasta Ata Kabhi Jo Ye Moqa
Ke Baap Dekhta Karyal Jawan Ka Lasha
Tu Lash Uthane Se Pehle Baap Mar Jata

Ajeeb Chahtin Hoti Hain Baap Bete Ki
Agr Hussain Ki Beti Na Housla Deti
Tu Beti Baap Ki Mayat Se Kese Hoti Juda
Agr Hussain Tera Gham Na Samne Hota
Jo Hogaye Shaheed Gham E Sheh Ki Raah Mein
Unko Liya Hussain Ne Apni Panah Mein
Maain Ye Bolein Beton Ke Lashon Ko Choom Kar
Milna Humain Imam E Zamaan Ki Sipah Mein

Tumhari Chah K Qarze Chukaye Hain Mola
Ke Maan Ne Beton K Lashe Sajaye Hain Mola
Karar Kese Shaheedon Ki Maaon Ko Ata
Agr Hussain Tera Ka Gham Na Samne Hota

Agr Ye Marsiye Nohon Main Na Suna Hota
Ke Lash E Ghazi Pe Kistarah Tune Sabar Kiya
Tu Gham Mein Bhai K Bhai Ka Dum Nikal Jata
Agr Hussain Tera Ka Gham Na Samne Hota

Wo Maa Ka Pehlu Shikasta Bhi Tune Dekha Tha
Agr Nazar Me Na Hota Bicharna Maan Setera
To Kese Maa Ke Janaze Ko Beta Dafnata

Haye Farhan O Zil E Raza
Kesa Sabir Tha Maula Mera
Sabar Har Gham Pe Krta Raha
Zikr Ho Konse Sabr Ka
Nana Ke Jane Pe Tera Sabr Maula
Maa Ke Janaze Pe Tera Sabr Maula
Baba K Zakhmo Pe Tera Sabr Maula
Bhai Ke Marne Pe Tera Sabr Maula
Akbar Ke Seene Pe Tera Sabr Maula
Qasim K Tukron Pe Tera Sabr Maula
Masoom Beti Pe Tera Sabr Maula
Haye Asghar Ki Hichki Pe Tera Sabr Maula
Lash E Baradar Pe Tera Sabr Maula
Behno Ki Chadar Pe Tera Sabr Maula
Jalte Hue Dar Pe Tera Sabr Maula
Lutey Hue Ghar Pe Tera Sabr Maula

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *