Agaya Sher e Ali  - ZIARAT AND Noha Lyrics

Agaya Sher e Ali 

Abbas
Ameer e Lashkar e Hussain
Badabuland Hausla Misaal e Shah e La Fata
Guroor e Aale Mustafa Wafa Baghat e Mojiza
Hai Zabr e Dast e Nainawaan Ameer e Lashkar e Hussain
Aagaya Sher e Ali
Sham Ki Fauj Ye Kehte Hue Darya Se Hati
Aagaya Sher e Ali
Par Samete Hue Jibraeel Ne Awaaz Di

Raub Se Sher e Dilawar Ke Falak Bhi Kham Hai
Chote Hazrat Ki Sawaari Ka Ajab Aalam Hai
Chaand Barhta Hai Sarakti Hai Ghata e Saari

Ran Mein Abbas He Abbas Dikhai Denge
Aaj Siffen Ke Murde Bhi Duhai Denge
Fauj Ke Haal Main Yaad Aayega Sabko Maazi

Al Amaan Kis Sher Ki Aamad Hai Ke Ran Kaap Raha Hai
Ran Ek Taraf Chark e Gohar Kaap Raha Hai
Rustam Ka Badan Zer e Kafan Kaap Raha Hai

Har Qasr e Salu Din Zaman Kanp Raha Hai
Shamsheer e Hadaf Dekh Ke Haider Ke Pisar Ko
Jibraeel Larazte Hain Samete Hue Parr Ko

Shaam Waalon Ke Liye Waqt e Zawaal Aaya Hai
Aaj Zehra Ki Mashiyat Ko Jalaal Aaya Hai
Al Amaan Kehte Hain Jinnat Malak Hooron Pari

Dam e Aa Khub Soor e Sarafeel Hua Hai Is Dam
Kya Qayamat Hai Larazte Hain Pahadon Ke Qadam
Zalzala Hai Ya Zameen Leti Hai Saansein Jaldi

Rahat Ke Mahallon Ko Bala Puch Rahi Hai
Hasti Ke Makanon Ko Fana Puch Rahi Hai
Taqdeer Se Umr Apni Qaza Puch Rahi Hai
Dozakh Ka Pata Fauj e Jafa Puch Rahi Hai
Al Hasr Jo Murda Na Pukar Tu Gazab Hai
Al Moat Zaban e Malkul Moat Pe Ab Hai

Taigh e Abbas Bhi Bijli Ki Chamak Jaisi Hai
Lashkar e Shaam Ki Ye Kaali Ghata Kehti Hai
Aaj Maidan Main Barsaat Saron Ki Hogi

Ran Se Har Bhaagne Wala Ye Sada Deta Hai
Sher Ke Haath Mein Talwaar Nahi Neza Hai
Ye Isi Neze main Hum Sab Ko Piro Dega Abhi

Allah Re Aamad Abbas Saf Shikan
Larzate The Dil Aur Badan Kaapta Tan
Jungle Ke Sher Ban Gaye The Khauf Se Hiran
Ek Shor Tha Ke Aaj Parega Ghazab Ka ran
Ye Sher Kam Nahi Asad Kala Gir Sa
Goya Muqabla Hai Janab e Ameer Se

Har Taraf Maut Ka Maidan Mein Laga Hai Pehra
Zair e Lab Parhte The Ali Jis Tarah Se Ya Zehra
Waise Maidan Mein Dohrate Hue Naad e Ali

Hogayi Aap Ke Aane Main Takallum Takhir
Likh Chuke Aamad e Abbas Anees Or Dabir
Unke Misron Ki Sada Goonj Rahi Hai Ab Bhi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *