Haye Jis Waqt Gira Zeen Se Ham Shakle Payambar
Shabbir Ko Zainab Ne Sadaa Di Ye Tarap Kar
Akbar Ke Janaze Pe Mujhe Le Chalo Bhaiya
Hum Milke Utha Lenge Jawan Laal Ka Lasha
Atthara Baras Wale Ka Sar Goad Mein Lekar
Main Naade Ali Parhti Rahungi Ay Baradar
Tum Seena E Akbar Se Nikalo Ge Jo Naiza
Jo Zakhm Lage Hai Wo Dikhaye Ga Na Tum Ko
Shayad Wo Takalluf Main Bataega Na Tum Ko
Main Maa Hon Magar Mujh Se Chupa He Nahi Sakta
Main Janti Hon Kaise Jawan Hote Hai Bete
Aur Dekhne Par Jaye Agar Unke Janaze
Ab Main Bhi Samajh Sakti Hon Aulad Ka Sadm
Aane Nahi Dungi Main Kisi Ko Bhi Wahan Par
Jee Bhar Ke Gale Milna Jawan Laal Se Jakar
Main Maut Se Keh Dungi Zara Dair Theher Jaa
Baba Mere Baba Ki Sadaa De Tu Raha Hai
Awaaz Se Lagta Hai Bohot Door Gira Hai
Lo Haath Mera Thamo Bohot Door Hai Jaana
Us Karb Ki Halat Se Nikale Ga Tumhain Kaun
Wo Eriyan Ragde Ga Sambhale Ga Tumhain Kaun
Chadar Se Bana Lungi Main Kuch Dair Ko Parda
Tooti Hai Kamar Aapki Aye Mere Baradar
Gir Gir Ke Uthenge Tu Hasenge Ye Sitamgar
Main Aapko Banne Ko Nahi Dungi Tamasha
Roti Hai Koi Bibi Musalsal Pase Parda
Jab Se Hai Suna Mir Takallum Tera Noha
Bhai Se Gale Milke Behen Boli Dobara
