Akbar Ne Kaha Ro kar

Akbar Ne Kaha Ro kar Ay Dard Zara Tham Ja
Baba Mere Seene Se Sina Khainch Rahe Hai
Ay Behte Lahoo Ruk Ja Hai Wasta Sughra Ka

Patti Mere Baba Ne Ankhon Pe Nahi Bandhi
Di Hai Khuley Haaton Se Ran May Meri Qurbani
Ay Dada Khaleel Aao Hai Waqt Qayamat Ka

Yasrab Ki Taraf Aankhain Har Dam Meri Rehti Hai
Ab Waqt Bohat Kam Hai Saansain Bhi Ulajti Hai
Qasid Meri Sughra Ke Jaldi Se Zara Aaja

Akbar Ki Guzarish Hai Lillaah Na Rad Karna
Jab Aap Ka Shewa Hai Duniya Ki Madad Karna
Baba Ki Madad Karne Aajaiye Ayy Dada

Dekha Nahi Jayega Aankhon Se Kabhi Meri
Tarpunga Agar Main Tu Takleef Unhe Hogi
Ulfat Ka Taqaza Hai Larza Na Badan Mera

Arman Jo Dil Main Hai Dil Main He Na Dafna De
Aisa Na Ho Zainab Ko Jakar Koi Batlade
Pyari Phupi Amma Se Bardasht Na Ye Hoga

Marne Ka Nahi Hai Gham Gham Hai Tu Bas Itna Hai
Darwze Pe Muddat Se Baithi Huwi Sughra Hai
Sunkar Ye Khabar Shayad Mar Jayegi Wo Dukhiya

Kehta Tha Takallum Wo Himmat Jo Meri Hoti
Khud Apne He Hathon Se Main Khenchta Ye Barchi
Takleef Nahi Apni Hai Dard Mujhe Iska

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *