Akeli Zahra s.a

Kalma Goyon Mein Hui Haye Akeli Zahra
Sar E Darbar Gayi Baba Jhutlai Gayi Aap Ki Beti Zahra

Kar Ke Tehreer Ke Tukre Mujhe Lautaya Gaya
Mere Masoom Gawahon Ko Bhi Jhutlaya Gaya
Kehkahe Sunti Rahi Aur Sand Chunti Rahi Aap Ki Sachi Zahra

Jis Gali Mein Mujhe Zalim Ne Tamacha Mara
Jeete Jee Mera Hasan Phir Na Wahan Se Guzra
Woh Na Bhoole Ga Kabhi Us Se Dekhi Na Gayi Khak Pe Girti Zahra

Zakhm Pehlu Ka Tou Bachon Se Chupaya Baba
Par Ye Sadma Mujhe Turbat Mein Bhi Tarpaye Ga
Jab Tamache Khaye Dekha Bachon Ne Mere Rok Na Payi Zahra

Aap Ki Zahra Thi Jalte Hue Dar Ke Neeche
Aur Hanste Hue Us Par Se Musalmaan Guzre
Thokarein Khati Rahi Ya Ali Kehti Rahi Baba Tumhari Zahra

Pasliyaan Toot Ke Uljhi Hain Kuch Aise Baba
Sans Leti Hoon Tou Dukhta Hai Kaleja Mera
Hai Shikasta Bazu Kar Nahi Sakti Ruku Zakhmi Hai Itni Zahra

Mujh Se Kehne Lagi Zainab Aye Zaeefa Bibi
Ye Hai Konain Ki Malka Ka Musalla Bibi
Aisi Halat Thi Meri Woh Na Pehchan Saki Samne Bethi Zahra

Meekh Jalte Hue Darwaze Ki Jab Surkh Hui
Mere Pehlu Se Woh Mohsin Ke Badan Mein Utari
Haye Dam Toor Gaya Woh Mujhe Chor Gaya Zinda Hai Phir Bhi Zahra

Qabr E Zahra Ki Khamoshi Ye Buka Karti Hai
Mera Mohsin Hai Jo Parde Mein Mera Mehdi Hai
Ab Fidak Ki Khatir Apne Haq Ki Khatir Kuch Na Kahe Gi Zahra

Leave a Comment

error: Content is protected !!