Akhir Hussain Maa Hon

Nazon Ke Pale Beta Aa Jhooli Mein Phulaon
Aakhir Hussain Maa Hon
Kitni Tapish Hai Beta Saaya Tera Banaon Aakhir
Hussain Maa Hoon

Nana Ne Qabr Chori Aaye Ali Najaf Se
Main Aa Gayi Baqiya Se Ae Laal Paas Tere
Bacha Ka Apne Gham Mein Kyun Dil Se Na Lagaon

Jhoola Mein Chain Tum Ko Milta Nahin Tha Beta
Main Ne Kabhi Ali Ne Godi Mein He Sulaya
Aa Jao Phir Se Tum Ko Aghosh Mein Sulaon

Jibreel Sa Farishta Jhoola Jhulane Aaya
Le Le Ke Jaam e Kausar Paani Pilane Aaya
Bachpan Ke Laar Tere Main Kaise Bhool Jaoon

Kehti Rahi Main Zalim Nazon Ka Hai Ye Pala
Khanjr Chala Na Is Per Ahmed K Hai Dulara
Sar Agaya Sina Per Main Kese Chain Paau

Naqa Nabi Tha Jiska Laash Uski Kya Ye He Hai
Ghoron Ke Daudne Se Pamaal Ho Chuki Hai
Tukra Utha Utha Ke Laash Teri Banaon

Hai Bekafan Janaza Jalti Hui Zameen Par
Roti Rahegi Maa Bhita Hashr Ab Yahin Par
Tanha Tujhe Yahan Par Main Kaise Chor Jaoon

Akbar Ke Dil Se Barchhi, Beta Jo Tune Kheenchi
Seene Ka Uss Ke Khoon Main Hathon Se Rokti Thi
Wo Mar Gaya Tadap Ke Kis Tarah Bhool Jaoon

Mayyat Ho Jis Ke Ghar Pe Dete Hain Log Pursa
Kitni Ghareeb Hai Ye Ujri Hui Teri Maa
Lene Mein Tera Parsa Har Ghar Main Roti Jaoon

Royi Lahad Pe Zahra Maqtal Main Royi Zahra
Rota Hai Jab Bhi Koi Karti Hoon Saath Giriya
Rote Hue Hassan Se Noha Tera Likhaon

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *