Alam Ke Saye Main Abbas Ke Hubdar Bethe Hain
Kahen Salman O Buzar Aur Kahin Mukhtar Bethe Hain
Zaban Main Aaj Meri Aik Anokhi Si Ravani Hain
Bohat Nazdeek Shayad Meesum e Tammar Betha Hain
Padar Se Muthiyan Abbas Ki Jhule Main Kehti Hai
Abhi Se Karbala Jane Ko Hum Tayyar Betha Hain
Mah e Shaban Hain Mola Pila Jaam e Wila Hum ko
Mere Saqi Teri Chaukhat Pe Sab Maikhar Betha Hain
Alam Bardari e Abbas Ki Taqreeb Jaari Hain
Abu Talib Ke Ghar Sare Alam Bardar Bethe Hain
Utha Matam Ki Khateer Or Majlis Ke Liye Bethe
Na Hum Bekar Utha The Na Hum Bekar Bethe The
Gayin Hain Sham o Kufa Dekhne Abbas Ki Behne
Kahan Chup Kar Humare Shair Se Farrar Betha Hain
Tamasha Kar Rahi Moat Maidan Main Khare Hokar
Badan Pe Sham Walon Ke Yun Tere Waar Bethe Hai
Fazail Per Ali Mola Ke Ruk Kar Mustafa Bole
Kabhi Phir Puchna Salman Abhi Agiyar Bethe Hai
Adab Sa Naam Per Abbas Ke Taa Zindagi Abdi
Hazaron Bar Uthe Hai Hazaron Bar Bethe Hai
Ali Asghar Ka Sadqa Hain Dilo Main Ahl e Batil Ke
Takallum Teer Ki Surat Tere Ashaar Bethe Hain
