Ali Ali Haider – 2018

Abhi Tou Bint E Asad Thi Tawaaf E Kaaba Mein
Ke Patharo Mein Khushi Se Ajab He Laali Thi
Khuda Ka Shukr Ke Ek Samt Ruk Gayi Warna
Har Aik Samt Se Deewaar Phatne Waali Thi
Nafs E Nabi Sher E Khuda Zehra Ka Shauhar
Maula Mera Aaqa Mera Saaqi E Kausar
Ali Ali Haider

Aake Zameeno Ko Khud Aflaak Ne Chooma
Bait E Khuda Wajd Mein Kuch Aur bhi Jhooma
Bint E Asad Aayi Tou Kaabe Mein Banaa Dar

Bint E Asad Kehne Lagi Maajra Hai Kya
Aankh Nahi Kholta Dekhe Mera Bacha
Bole Nabi Bhai Ko Haatho Main Uthaa Kar

Duniya Ko Dekhna Bhi Gawaara Nahi Kiya
Jab Tak Ali Ne Dekha Na Chehra Rasool Ka
Sher E Khuda Na Banta Tou Bantaa Bhi Aur Kya
Bachpan He Se Jo Paala Huwa Tha Rasool Ka
Ye Bhi Ali Wali Ki Fazeelat Hai Ek Barii
Jo Hai Ali Ka Shajra Wo Shajra Rasool Ka
Rab Ki Kasam Ali Tou Hai Wo Pehla Naat Khuwan
Jis ne Parhaa Hai Pehla Qaseeda Rasool Ka

Naam E Ali Rab Ne Bahaaro Pe Bhi Likkha
Chaand Pe Suraj Pe Sitaaro Pe Bhi Likkha
Naam Yehi Likkha Tha Jibreel Ke Parr Par

Han Teri Khismat Bhi Sawar Jaaye Gi Pyaare
Doobti Kashtii Bhi Ubhar Jaaye Gi Pyaare
Bola Khuda Nooh Se Tu Wird Yehii Kar

Jung Ke Maidaan Mein Chaaleeswa Din Tha
Naad E Ali Parh Ke Nabi Ne Jo Pukaara
Aaye Ali Jis Ghari Khyber Ka Uraa Dar

Yaad Dilaata Hoon Tumhein Khum Ka Nazaara
Jis Ghari Sarkaar Ne Man Kuntu Pukaara
Kehne Lagaa Wajd Mein Ashaab Ka Lashkar

Shank Ki Ye Goonj Ye Naubat Ki Sadaein
Saare Zamaane Ko Ye Paigaam Sunaaye
Naara Lagaate Thy Ye Shahbaz Qalandar

Zille Raza Ho Ke Wo Farhan Ali Ho
Dono Ka Maksad Hai Bayaan Shaan E Ali Ho
Sab Sar E Mehfil Kahe Haathon Ko Utha Kar

Leave a Comment

error: Content is protected !!