Ali Ali Ali Ali
Sadiyon Ke Intezaar Ka Kaisa Sila Diya
Dono Jahan Ka Sar Meri Janib Jhuka Diya
Tera Rajab Ali Se Ye Bola Khuda Ka Ghar
Qibla Mujhe Tou Aapne Kaaba Bana Diya
Ali Ali Maula Haider Maula
Aaye Ali Khana E Kaaba Ye Pukara
Mil Ke Lagao Sabhi Haideri Naara
Dekhne Manzar Ye Nabi Aur Wali Aaye Hai
Ghar Hai Ye Allah Ka Aur Us Mein Ali Aaye Hai
Kaisa Haseen Aaj Hai Kaabe Ka Nazara
Kis Ko Mila Wasf Ye Duniya Mein Dubara
Zeb E Musalla Thy Nabi Karte Thy Haq Se Dua
Kon Kufe Fatima Zehra Hai Khudya Bata
Kaisa Diya Khaliq E Akbar Ne Ishara
Aaya Dar E Haider E Safdar Pe Sitara
Raaton Ko Ali Jaage Tou Khaliq Ne Ye Socha
Farsh E Shab E Hijrat Tou Sajana Hi Parega
Khatre Mein Na Par Jaaye Mera Wasf E Khudai
Ek Shab Ke Liye Isko Sulana Hi Parega
Waqiya Ye Bhi Shab E Hijrat Ke Sabab Hogaya
Wasf E Khudai Ko Bachana Tha Ali Sogaya
Bistar E Ahmed Ke Qareeb Pohuncha Bichara
Lashkar E Kuffar Ka Sardaar Pukara
Jis Pe Mere Maula Ne Ek Ghaiz Mein Daali Nazar
Uthta Nahi Duniya Se Uth Jaata Hai Wo Ehle Sharr
Bughz E Ali Deta Hai Bande Ko Khasara
Ishq E Ali Ne He Muqaddar Ko Sawara
Le Ke Mohammad Se Alam Jaate Rahe Soorma
Guzre Kayi Roz Magar Fatha Na Khaiber Hua
Mil Gaya Mushkil Mein Mohammad Ko Sahara
Naade Ali Parh Ke Mohammad Ne Pukara
Mazhar O Farhan Ka Ailaan Zamana Sune
Haider E Karrar Ki Midhat Mein Tarana Sune
Kehta Hai Har Aan Ye Eeman Hamara
Tujh Sa Banaya He Nahi Rab Ne Dobara
