Mahraj Ali Sartaj Ali Mairaj Ki Bhi Mairaj Ali
Youm-e-Alast Khuda Khalq Se Kehne Laga
Meri Tauheed Ka Tu Tum Ne Iqrar Kiya
Haan Magar Jis Ke Liye Yeh Jahan Khalq Howa
Woh Ali Ki Hai Wila, Woh Ali Ki Hai Wila
Aao Iqrar Karo Aaj Sab Mil Ke Kaho
Sari Khilqat Ki Taraf Dekh Ke Bola Yeh Khuda
Bas Ali Ka Raaj Chaley Ga
Tera 13 Rajab Muskura Kar Yeh Kaba Kehta Tha Haider Ki Maa Se
Yeh Ghar Ali Ke Liye Hi Bana Hai Aa Jaein Chahein Jahan Se
Mera Malik Hai Ali Yeh Fazeelat Hai Bari
Aaein Jab Bint-e-Asad Khana-e-Rab Bool Utha
Kiya Hai Ishara Ali Ka Kahan Par Kaisay Kisay Marna Hai
Abro Ki Junbish Samjhta Hai Malik Dushman Bhi Yeh Janta Hai
Jab Liye Bughz-e-Ali Samne Aaya Koi
Sar Uratay Hoye Yeh Malik-e-Ashtar Ne Kaha.
Aye Manya Khilafat De Mimber Te Ral Ke Qabza Tusi Kar Liya Aye
Dil Te Magar Momina De Ali Da Qabza Hamesha Rehya Aye
Hashar Tak Zikar-e-Ali Howay Ga Khafi-o-Jali
Aa Ke Darbar De Aye Samne Batool Kehya
Maidan-e-Khum Mein Jo Pohanchay Muhammad Sab Hajiyon Ko Bulaya
Maula Ne Maula Ki Marzi Suna Kar Maula Ali Ko Banaya
Or Phir Bolay Nabi Hai Bila Fasl Ali
Bugz Ke Maron Ko Maut Aane Lagi Jab Yeh Suna
Chero Na Mujhe Aye Mere Dildar Malango
Jo Kuch Bhi Tumhein Chahiye Mahool Se Le Lo
Iss Waqt Main Nabiyon Ke Masail Mein Hoon Masroof
Iss Waqt Main Nabiyon Ke Masail Mein Hoon Masroof
Kaisay Samajh Mein Ali Aaye Pehle Samjho Ali Ka Dewana
Dunya Mein Janat Ke Ghar Baich Kar Yeh Kehta Tha Behlool Dana
Ghar Mubarak Ho Tujhe Haan Magar Yaad Rahe
Baab-e-Janat Pe Nazar Aaye Ga Yeh Likha Howa
Laya Gaya Jab Kumail-e-Riyahi Hujaj-e-Yousuf Yeh Bola
Kar De Agar Tu Baraat Ali Se Tujh Ko Abhi Chor Doon Ga
Bool Utha Ishq-e-Ali Tujh Pe Lanat Ho Meri
Jab Talak Zindah Rahon Ga Main Yehi Doon Ga Sada
Jis Waqt Dosh-e-Nabowat Pe Mere Maula Ali Ke Qadam Thy
Kehte They Jana Paray Ga Yahan Se Pathar Ke Jitnay Sanam Thy
Buut Giratay They Ali Muskuratay Thy Nabi
Gir Chukay Laat-o-Manat Uzza Tu Kabay Ne Kaha
Panj Narah Panjtani Sawa Lakh Narah
Haidery Ya AliHaidery Ya Ali,Haidery
Haider, Haider, Haider, Haider, Haider, Haider, Haider
Mehshar Ke Maidaan Mein, Khalq-e-Do Alam Ko
Jab Woh Uthaye Ga, Sab Ko Bulaye Ga
Pehla Sawal Apne Nabiyon Se Pochay Ga
Malik-e-Mehshar Ki Aawaz Aaye Gi
Batao Keh Kar-e-Nabowat Mein
Kaun Tumhara Hai Gawah?
Nooh Muhammad Ke, Pas Aa Ke Bolein Gay
Hum Se Gawahon Ka, Pocha Hai Malik Ne
Hamza-o-Jafar Ko Aaqa Sada Dein Gay
Sab Ki Nabowat Ka Shahid Bana Dein Gay
Pichey Muhammad Ke Haq Ka Alam Thamay
Hoon Gay Ali Shair-e-Khuda
Aa Ke Muhammad Se, Koi Yeh Pochay Ga
Kyunkar Gawahi Mein, Haider Ko Na Bhaija
Bolein Gay Ahmad Khuda Jab Bulaye Ga
Mujh Se Gawahi Nabowat Ki Mangay Ga
Fakhar Ke Aalam Mein Rab Se Main Bolon Ga
Meri Gawahi Hai Ali.
Sawa Lakh Nabiyon Mein Parcham Utha Kar
Sar Pe Apne Taj-e-Wilayat Saja Kar
Aaein Gay Maula Ali Saye Mein Hoon Gay Nabi
Or Lehra Ke Pukarey Gi Yeh Parcham Ki Hawa
Mahraj Ka Raaj Kehte Hain Kis Ko Dekhey Ga Sara Zamana
Mehdi Ke Humrah Rajat Mein Jis Dam Abbas Ka Hoga Aana
Kabay Pe Rakh Ke Qadam Jab Lagaye Ga Alam
Hogi Zeeshan-o-Raza Ghazi Ke Honton Pe Sada

