Han Ali Bashar Kaifa Bashar
Rab Ho Fiha Tajalla Wa Zahar
Bas Ek Woh Hai Jo Sab Jaanta Hai
Is ki Haqeeqat ko Rab Jaanta Hai
Woh Aqal e Aadam se Hai Balatar
Hum Se Kyun Puch Rahe Ho Ke Kahan Par Hai Ali
Mera Mabood Jahan Par Hai Wahan Par Hai Ali
Arsh Ka Taj Ali Shab e Miraj Ali
Bole Muhammad Wali He Wali Tha
Dekha Jahan Par Ali He Ali Tha
Parde Ke Andar Bhi Tha Jalwaghar
Hakim e Kul Bhi Hai Woh Shohar e Zahra Bhi Hai Woh
Ek He Waqt Mein Banda Bhi Hai Maula Bhi Hai woh
Arsh Par Bhi Hai Ali Farsh Par Bhi Hai Ali
Bach kar Ali se kahan ja Sakhe Ga
Turbat Ke Andar Bhi Haider Milega
Ho Ja khabardar Ae Be Khabar
Rizq Bhi Deta Hai Marzooq Bhi Kehlata Hai
Khalq Bhi Karta Hai Makhlooq Bhi Kehlata Hai
Kuch Ne Masjood Kaha Kuch Ne Mabood Kaha
Sajde Se Uske Khula Majra Hai
Noor e Khuda Hai Ali Kab Khuda hai
Phir Bhi Na Samjhe Ise Kam Nazar
Ali Nal Baghz Rakhiye Awein Ae Tu Nakamia
Jithe Tera Hajj Howe Uthe Ali Jamiya
Jis mein Quran Ikhatta Hai Woh Nuqta Hai Ali
Jalwa Allah Ka Jis Mein Hai Woh Banda Hai Ali
Dur e Nayab Ali Mera Arbab Ali
Dono jahan ko Wahi Palta Hai
Nabiyon Ki Mushkil Ko Bhi Talta Hai
Naam e Ali hai bara ba Asar
Mazhar e Kibriya Ali Jan e Man
Dilbar E Sayeda Ali Jan e man
Ta Surat e Paivand e Jahaan Bood Ali Bood
Ta Naqsh e Zameen Bood o Zamaan Bood Ali bood
Hum Awwal o Hum Aakhir o Hum Zahir o Batin
Hum Abido Hum Aabado Mabood Ali Bood
Pehle Aadam se Bhi Pehle Ka Hai Haazir NNaazir
Dahr Mein Tera Rajab Ko Woh Huwa Hai Zaahir
Noor e Awwal Hai Ali Zaat e Akmal Hai Ali
Bas Ek Muhammad The Rab e Jali Tha
Jab Kuch Nahi Tha wujood e Ali Tha
Kun kya Hai Hukm e Ali Ka Safar
Baat ye Mir Takallum Ki Samajh Mein Aayi
Is Ke Ausaaf Gine Ja Nahi Sakte Bhai
Kaun ye Jaane Bhala Kul e Imaan Hai Kya
Yeh Raaz hai Kab Kisi Par Khula Hai
Aarif Ali ka Nabi Ya Khuda Hai
Hairaan Ab Tak Hain Jinn o Bashar
