Ali Ke Ghar Ki Taraf Hai Nazar Zamane Ki - ZIARAT AND Noha Lyrics

Ali Ke Ghar Ki Taraf Hai Nazar Zamane Ki

Ali Ke Ghar Ki Taraf Hai Nazar Zamane Ki
Khabar Jo Payi Hai Maula Hasan Ke Aane Ki

Mureed Ho Gayi Shabar Ki Zulfiqar E Ali
Adaein Dekhi Hai Jab Se Qalam Chalane Ki

Wo Aye Zohar Main Aur Maa Ky Sath Asar Parhi
Khuda Ke Sajde Main Adat Thi Sir Jukane Ki

Abhi Imam E Hassan Pusht Pe Hain Bethe Huwe
Rasool Kijiye Zehmat Na Sar Uthane Ki

Hai Zikar Mola Hassan Pajntan Ki Amad Hai
Badal Rahi Hain Fazaein Gareeb Khane Ki

Abhi Main Jashan E Imam E Hasasn Main Aya
Aye Moat Ja Abhi Fursat Nahi Hai Ane Ki

Hain Inki Tooti Hui Qabar Se Bhi Khauf Unko
Wo Kaise De Dein Ijazat Haram Banane Ki

Hai Hum Ko Hai Roze Main Adat Takallum O Farhan
Maye Sana E Hasan Peene Aur Pilane Ki

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *