Ali Ke Samne Mara Hussain Ki Maa Ko
Koi Bachaney Na Aaya Hussain Ki Maa Ko
Ali Ne Dekhey Nishaan Thokaron Ke Bazu Par
Na Jane Kis Tarha Mara Hussain Ki Maa Ko
Hussain Ho Ya Hasan Pochti Thin Beton Se
Dikhai Deta Kahan Tha Hussain Ki Maa Ko
Galay Se Lipati Hoi Hai Hussain Ke Zahra
Na Mar Shimar Dobara Hussain Ki Maa Ko
Ali Ko Deta Nahi Koi Bhi Jawab e Salam
Yeh Gham Tha Sab Se Zyada Hussain Ki Maa Ko
Amanat Aap Ki Zakhmi Hai Ya Rasool Allah
Yeh Keh Ke Qabar Mein Rakha Hussain Ki Maa Ko
Wazeefa Barh Gaya Isska Yeh Sun Ke Roye Ali
Tha Jis Laeen Ne Tha Mara Hussain Ki Maa Ko
Wahan Pe Rotay Hain Sajjad Aaj Bhi Mehdi
Jahan Pe Mara Gaya Tha Hussain Ki Maa Ko
