Sabhi Khush Hain Khudayi Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Sath Hai Zehra Ki Shadi
Dulha Hai Khuda Ke Ghar Ka
Dulhan Hai Nabi Ke Ghar Ki
Wo Arz O Sama Ka Malik
Ye Malka Behr o Bhar ki
Zameen Raksan Hai hai raksan Asman Bhi
Jab Hukum Khuda Ka paya
Hooro Ne Arsh Sajaya
Ismat Ne Banaya Saya
Aur Noor E Wila Lehraya
Wilayat Ne Haseen Masnad Saja Diya
Kahi Baharein Guzar Gayi Hain
Khila Na Aisa Chaman Jahan Mein
Kaha Khuda Ke Mein Aisa Dulha
Kahan Hai Aisi Dulhan Jahan Mein
Haider Hai Kul E Emaan
Aur Kul E Ismat Zehra
Us Sar Par Wafa Ka Sehra
Is Sar Par Haya Ka Sehra
Wo Shehzada hai Aur Ye Shehzadi
Bibi Khadija Ko Shadi Mubarak
Tohfe Mein Mile Maike Se
Inhein Kausar Aur Jannat Tou
Ye Sara Namak Aur Pani Haq Mahar Mila Zehra Ko
Salami Mein Mile Marzi Khuda Ki
Yeh Ambiya Hain Yeh Auliya Hain
Ali Wali Ki Barat Dekho
Chirkta Hai Khizar Har Barati Ke Rukh Pe Aab E Hayat Dekho
Yeh Bazm Dekho Yeh Log Dekho
Yeh Raag Dekho Yeh Raat Dekho
Barat Chali Haider Ki Rehmat Ke Saye Saaye
Baraat Ke Aage Aage Waliyon Ne Qasida Gaaye
Nabi Sare Chale Ban Kar Barati
Tatheer Ki Zer e Saya Rahe shaad yeh Dulha Dulhan
aye Baagh E Jinnah Ke malik Abaad Rahe Yeh Gulshan
Khuda Wanda Mubarak Ho Ye Shadi
Shukriya Aye Khuda Shukriya
Ata Kar Ke Haider Ko Zehra Si Zoja
Pukara Falak Par Yeh Mabood Mera
Ali Ne Banayi Hai Kismat Jahan Ki
Ali Ki Main Kismat Banane Chala Hoon
kheti ne Bichaya Sabza Suraj Ne Ujale Baante
Khud Dast e Khuda Ne Shab Ke Anchal pe Sitare Taaqe
Hui Rangeen Jo Thi Tasveer Saadi
Ab Chahe Koi Tarpe
Ab Chahe Koi Bharke
Ab Mere Bala Se chahe
Mar Jaye Koi Jal jal Ke
Khushi Ki Baat Thi Maine Suna Di
Rukhsat Ki Ghari Jab Aayi
Taaron Ne mang Sajayi
Haq Ne Rehmat Barsayi
Naaro ne dhoom Machayi
Uthi Doli chale Bad e Bahari
Thi Aisi Muqaddas Mehfil
Aise Pakiza Jalwe
aye Mir Hasan Aur Gohar
Kaha Sab Ne ye Khush Hoke
Mubarak Hai Yeh Shadi

