Ali Pasand Hai Mujhe

Jalal e Zuljalal Hai Ali Ali
Khuda Ka Hum Khayal Hai Ali Ali
Bulandiyan Yeh Dekh Kar Pukara Dil Mera
Ali Pasand Hai Bohat Pasand Ali Pasand Hai Mujhe

Rajab Ki Tarhween Ko Ye Buton Se Kaba Bol Utha
Chalo Yahan Se Jao Ab Tha Jitna Rehna Reh Liya
Khuda Ka Hai Yeh Faisla Ali Ali
Hai Jiska Ghar Woh Aa Gaya Ali Ali
Nahi Pasand Mujhko Tum Mujhe Toh Bas Mera

Manao Jashn Yeh Kaha Khuda Ne Khud Khudai Se
Mile Hain Aaj Mustafa Zameen Pe Apne Bhai Se
Nabi Ki Goad Main Ali Ali Ali
Jab Aaye Toh Nazar Mili Ali Ali
Ali Jo Muskuraye Tu Ye Bole Mustafa

Na Jane Kitne Log The Jo So Sakhe Na Rat Bhar
The Muntazir Batool Ka Banega Kaun Humsafar
Sitara Arsh Se Chala Ali Ali
Liye Raza e Fatima Ali Ali
Ali Ke Dar Pe Aake Ye Sitara Bol Utha

Mujhe Pasand Nahi Hai Kisi Ki Baat Karo
Khuda Ke Baad Khuda Ke Wali Ki Baat Karo
Farishte Qabar Mein Kaise Sawal Kaise Jawab
Ab Aagaye Ho Toh Baitho Ali Ki Baat Karo

Liye Kitab Hath Mein Har Ek Hisab Mangne
Farishte Qabar Mein Jab Agaye Jawab Mangne
Main Mutmain Tha Sath Ali Ali
Hain Mere Liye Najat Hain Ali Ali
Farishte Kuch Na Keh Sake Yeh Maine Jab Kaha

Yeh De Raha Tha Daar Par Bayan e Mesam e Wila
Ali Ka Ishq Saath Hai Toh Jaan Kya, Zubaan Kya
Hai Had Mere Junoon Ki Ali Ali
Na Rok Payega Koi Ali Ali
Tu Jitni Baar Pooch Le Kahunga Main Sada

Khaibar Mein Jab Ali Ko Muhammad Ne Di Sada
Sunkar Sada Ali Ne Yeh Rahwar Se Kaha
Chal Ae Majli Humko Bulate Hain Mustafa
Aise Pahuncha Ke Teri Muqallid Bani Hawa
Dora Wo Is Tarah Ke Hawa Kanpne Lagi
Kehta Tha Har Qadam Pe Majli Ali Ali

Aayenge Kis Tarah Se Ali Bas Yeh Soch Kar
Khaibar Mein Sabke Lab Pe Rawaan Tha Agar Magar
Nazrein Jami Huyi Theen Madine Ki Rah Par
Kehne Lage Yeh Hazrat-e-Salman Dekh Kar
Kyun Dekhte Ho Rah Tum Itne Dhyan Se
Woh Dekho Aarahe Hain Ali Asman Se

Pahunche Ali Salam Nabi Ko Kiya Ada
Parcham Diya Nabi Ne Chala Sher e Kibriya
Marhab Ko Is Tarah Se Pachara Na Uth Saka
Har Simt Wardi Naam e Ali Goonjne Laga
Khyber Ka Dar Ukhad Ke Phenka Ali Ne Jab
Kehne Lage Yeh Dekh Ke Aashiq Ali Ke Sab

Man Kunto Maula Fa Haza Ali Maula
Man Kunto Maula Fa Haza Ali Maula

Ali Ka Haath Tham Kar Nabi Ne Ghum Mein Yeh Kaha
Baghor Dekh Lein Sabhi Yehi Hai Janasheen Mera
Kaha Yeh Jab Rasool Ne Ali Ali
Hain Sabke Maula Aaj Se Ali Ali
To Jhoom Kar Har Aashiq e Ali Ne Di Sada

Zeeshan Ho Ya Raza Ho Sab Hain Tere Dar Ke Naukar
Shah Shams Sachal Bhitai Khwaja Ho Ya Ho Qalandar
Mila Hai Sabko Martaba Yeh Sab Hai Bas Karam Tera
Wohi Bana Wali Ke Jiske Lab Pe Wardi Tha

Leave a Comment

error: Content is protected !!