Sarkar E Do Alam Tou Yehi Kehte Thy Har Bar
Ali Sab Se Baray Hain
Ye Keh Ke Khuda Ne Bhi Unhein Bheji Hai Talwar
Ali Sab Se Baray Hain
Jab Chahe Sitare Ko Woh Chokhat Pe Utare
Doobe Hue Suraj Ko Ishare Se Bula Le
Qise Ye Sune Maa Se Bhi Bachpan Mein Kayi Bar
Antar Ko Kiya Qatal Tou Marhab Ko Pachara
Angusht E Yadullah Ne Khyber Ko Ukhara
Iss Baat Se Kar Sakta Nahi Koi Bhi Inkar
Fazeelaton Ka Samandar Kahan Se Lao Ge
Bulandiyon Ka Woh Manzar Kahan Se Lao Ge
Bayan Apni Barayi Ka Yun Kahin Bhi Karo
Magar Ghadeer Ka Mimber Kahan Se Lao Ge
Kya Qaul E Payamber Bhi Tumhein Yaad Nahi Hai
Kya Khum Ka Woh Manzar Bhi Tumhein Yaad Nahi Hai
Man Kuntu Ke Alfaz Mein Poshida Thy Asrar
Na Mariyam O Esa Ko Mila Aisa Muqadar
Aaye Hain Ali Tera Rajab Kabe Ke Andar
Phir Kyun Na Kahe Kabe Ki Chatkhi Hui Dewar
Rooz E Azzal Se Aaj Talak Kya Koi Ali Jaisa Hai
Asadullah Hai Wajahullah Hai Lehja Nabi Jaisa Hai
Jis Ne Ali Ko Jana Haan Us Ne Mana Mana
Hijrat Ki Shab Rasool Ke Bistar Pe Hain Ali
Mehrab Par Ali Hain Tou Mimber Pe Hain Ali
Kaba Gawah Hai Dosh E Payamber Pe Hain Ali
Har Ja Ali Mile Gain Na Daman Bachaiye
Bachna Ali Se Hai Tou Jahanum Mein Jaiye
Bistar Pe Nabi Apni Jagah Jis Ko Sula De
Murde Ko Kabhi Mar Ke Thokar Woh Jaga De
Maula Ke Fazail Mein Manazir Hain Lagatar
Duniya Ko Daleelein Tou Bohat Deta Hai MAZHAR
Mane Ga Wohi Jis Ko Hua Ishq Mayassar
Is Ishq Mein Mesum Ne Bataya Tha Sar E Daar
Phir Ke Dekh Lo Nagar Nagar Tazkira Gali Gali Mein Hai
Aur Kisi Baat Mein Nahi Jo Maza Ali Ali Mein Hai
Tera Hai Ali Mera Hai Ali
Sab Ka Hai Ali Rab Ka Hai Ali
Maula Hai Ali Aaqa Hai Ali
Qibla Hai Ali Kaba Hai Ali
Dil Mein Tujhe Hai Basaya
Rab Ko Pukara Tu Aaya
Tu Ishq Ka Sarmaya
Sab Ke Dilon Pe Hai Chaya
Deen Ka Muqaddar Aaqa E Qambar
Maula E Buzar Fatah E Khyber
Zahra Ka Shohar Jan E Payamber
Kabe Ke Andar Kabe Ke Bahar
Kabe Ka Mehwar Qatil E Marhab
Qatil E Antar Sahib E Mimber

