Sada Deti Thi Ye Zahra
Ali Se Puchna Baba
Gira Jab Mujh Pe Darwaza Guzrate Jate Thy Aada
Main Beti Hoon So Baba Ki Tabiyat Ko Samjhti Hoon
Tamacha Kis Ne Mara Hai Batane Se Jijhakti Hoon
Hua Kis Tarhan Se Neela Teri Beti Ka Ye Chehra
Madine Ka Rawaiya Yun Tumhare Bad Badla Hai
Main Zehra Hoon Nabi Zaadi Mujhe Ye Kehna Parta Hai
Ye Mastoorat Yasrab Ki Adab Karti Nahi Mera
Mera Ek Hath Tou Rehta Hai Baba Zakhmi Phelu Per
Mujhe Mara Gaya Hai Taziyana Dojay Bazu Per
Bari Muhskil Se Hota Hai Teri Beti Se Ab Sajda
Sitamgar Jis Ghari Aya Mere Kano Main Gohar Thy
Uthaya Hath Jab Mujh Per Tou Baba Mere Kano Se
Mere Rukhsar Main Aa Kar Huwa Paywast Wo Bunda
Mujhe Darbar Ki Peshi Ne Is Darja Tha Tarpaya
Koi Athara Barso Ka Janaza Jese Ho Aya
Kiya Hai Kis Tarhan Maine Safar Darbar Ka Baba
Na Din Ko Chain Pata Hai Na Wo Raaton Ko Sota Hai
Mere Raste Main Girne Per Hasan Chup Chup Ke Rota Hai
Mera Beta Nahi Us Din Se Mere Samne Aya
Tumhein Maloom Hai Shabbir Ko Nazo Se Hai Pala
Usay Seenay Lagane Se Bhi Ab Ajiz Hui Zahra
Mera Bazu Shiksta Hai Laga Tha Is Tarhan Duraa
Pidar Ki Qabr Pe Bibi Ne Akbar Ro Ke Farmaya
Main Zehra Ho Ke Bhi Na Mehramo Main Agayi Baba
Ali Ko Kese Kunfz Se Teri Zahra Ne Churwaya
