Ali Sher e Khuda Haider Haider
Gurur e Kibriya Haider Haider
Wasi e Mustafa Haider Haider
Tera Darbar Duniya Main Muqaddar Saaz Hai Mola
Jisa Parwaz Tu Daye De Wahi Shahbaz Hai Mola
Pas e Parda Muhammad Se Shar e Meraj Jo Bola
Hamain Lehja Sa Lagta Hai Teri Awaz Hai Mola
Safeer Kibriya Haider Haider
Muhammad Ki Dua Haider Haider
Gurur e Kibriya Haider Haider
Dil Saar Hai Gada e Janab e Ameer Ka
Khali Kabhi Raha Nahi Kasa Faqeer Ka
Matlab Yahi Hai Hath Ki Har Ek Lakeer Ka
Daman Na Chutne Paye Janab Ameer Ka
Ameer Do Sara Haider Haider
Tera Ane Pa Khilti Hai Jidar e Khana e Kaba
Baqdar Zarf Kehta Hai Tera Arif Hain Jo Mola
Namaz e Panjgana Ka Maza Apni Jagah Lekin
Hamain Tasbeeh He Lagta Ali Ka Naam Ka Nara
Kaho Mil Kar Zara Haider Haider
Khusha Zameen Mualla Zah e Fizaye Najaf
Riyaz Khuld Bhi Shaeq Hawaye Najaf
Han Mareez Ka Liye Akseer Hai Yeh Do Nuskha
Gubar e Marqad e Shabbir Aur Hawaye Najaf
Khalil e Karbala Haider Haider
Teri Marzi Se Chalta Hai Nizam e Do Jahan Mola
Tere Kun Ka Natija Hai Zameen o Aasmaan Mola
Teri Zoja Ke Sadqa Main Sabhi Ko Rizq Milta Hai
Tera Sadqa Malango Ki Lagi Hai Nokri Mola
Faqeeron Ki Sada Haider Haider
Pathar pe Alam Deen Ka Gara Kisne
Lalkaar Ka Marhab Ko Pachara kisne
Ashaab e Payambar To Sabhi Thay Maujood
Bolo Bolo Dar e Khaibar Ko Ukhara Kisne
Shah e Kaibar Kusha Haider Haider
Sab Par Ahsan Ali Ke Baba Ka
Deen e Nabi Hai Daan Ali Kay Baba Ka
Han Isko Banana Wala Takkallum Shia Tha
Nikla Yahan Sa Jo Hai Dushman Shion Ka
Hai Ye Pakistan Ali Ka Baba Ka Hai
Watan Ka Asra Haider Haider
Qalanadar Lal Lal Lal Murshid Lal
Sehwan Wala Peer Sada Rehta Maira Dil Dai Andar
Jhola Jhola Lal Dam Mast Qalanadar
Waliyan Da Sardar Qalanadar
Kardai Baira Paar Qalanadar
Sab Di Khali Jholian Bharda Haider Da Aey Nokar
