Allah Ho Allah Ho Allah Ho
Chand Taron Ki Shaan E Jamali Main Tu
Sabz Patton Main Phoolon Ki Lali Main Tu
Ghoshe Ghoshe Main Tu Bali Bali Main Tu
Tehni Tehni Main Tu Dali Dali Main Tu
Bote Bote Main Gul Gul Main Buo Buo Main Tu
Yun Tou Har Ek Nabi Tujh Se Mansoob Hai
Tera Bheja Hua Hai Bohut Khoob Hai
Han Magar Un Main Ek Tera Mehboob Hai
Jis Ki Har Ek Ada Tujh Ko Marhoob Hai
Tera Mehboob Wo Uska Mehboob Tu
Dakhl Mumkin Nahi Tere Asrar Main
Kisko Yara Bhala Teri Sarkar Main
Kisko Tabe Sukhan Tere Darbar Main
Husne Yusuf Se Bik Jaye Tere Baazar Main
Aur Nafs E Nabi Ka Kharidar Tu
Deed Kisko Maiyassar Teri Zaat Ki
Lakh Moosa Ne Tujh Se Munajat Ki
Phir Bhi Tu Ne Na Unse Mulakat Ki
Chup Ke Parde Main Ki Jub Kabhi Baat Ki
Aur Mohammad Se Ki Dubadu Guftagu
Har Fazilat Mohammad Ke Ghar Bhej Di
Thi Jo Sheh Khoob Se Khoob Tar Bhej Di
Inke Bhai Ko Taig E Dosar Bhej Di
Aur Malak Se Phir Uski Khabar Bhej Di
Lafata Ki Sada Abbhi Hai Char Su
Jin Ko Apne Buzrgo Sa Pasti Mili
Ilm O Irfan Ki Faqa Masti Mili
Deen O Eman Ki Tangdasti Mili
Apne Ajdad Sa But Parasti Mili
Unki Mehfil Main Bhi Aj Hai Char Su
