Allah Hussain sabr tera kitna bara hai
Bete ka jigar nikla
Hua dekh raha hai
Zalim hai ke Akbar ki
Haye reesh nochkar
Phir samne pidar ke
Sar kaat raha hai
Bole Hussain Akbar
Se bhid hatate
Aye zalimo na khuchlo
Ye nazo se pala hai
Haye tuti pasliyo se
Uthati thi ma jise
Tuti qamar se beta
Uthane ko chala hai
Boli Sakina Abid
Ka shana hilakar
Bhaiya uthao jaakar
Mera baba gira hai
Laila to apni duniya
Bas dekhti rahi
Sartaj par gharibi
Bete pe qaza hai
Aise gira ke chehra
Jaa khak par laga
Kitna Hussain logo
Zaifi se lada hai
Sughra ko kaise qasid
Doge jawab tum
Khat ka jawab Akbar
Ne sine pe likha hai
Poet: Syed Jon Shah
Soz: Shahzaib Hassan Bangali
Matami Sangat: Anjuman e Hussainia Sadar Lahore
