Alwida Alwida Alwida Ay Hussain
Ye Sada Fughan Aur Ye Majlise
Matamo Noha Aur Gham Ki Yeh Zeenate
Chahta Hai Ye Dil Yunhi Qaim Rahy
Aah Phatta Hai Dil Kis Tarah Yeh Kahein
Mere Mehman Hai Aakhri Ye Salam
Tujh Pe Qurban Hai Aakhri Ye Salam
Shah e Zeeshan Hai Aakhri Ye Salam
Dil Hai Veeran Hai Aakhri Ye Salam
Baksh De Ho Gayi Ho Jo Koi Khata
Haq e Khidmat Na Humse Ada Ho Saka
Gham Yehi Hai Na Jee Bhar Ke Matam Kiya
Teri Khaatir Na Kyun Apna Sar De Diya
Gar Jiye Saal Bhar Phir Karenge Yeh Gham
Roenge Phir Tere Gham Mein Mil Kar Baham
Aur Agar Mar Gaye Tu Ye Hoga Alam
Haye Afsos Jee Bhar Ke Roye Na Hum
Alwida Ayy Hussain Ayy Hussain Alwida
Alwida Ayy Shah e Mashraqain Alwida
Bint e Ahmad Ke Ayy Noor e Ain Alwida
Hain Mojhaid ke Lab Ye Bain Alwida
