Ap Ki Zahra Pe Ye Kaise Zamane Aaye
Dekhiye Log Mere Ghar Ko Jalane Aaye
Jane Soye Thy Madine Ke Musalman Kahan
Jalta Dar Dekh Ke Fizza Yehi Karti Thi Fogaan
Aag Darwaze Ki Koi Tou Bujhane Aaye
Pasliyaan Toot Gayi Mujh Pe Gira Darwaza
Aur Chalta Hua Darwaze Pe Zalim Guzra
Zakhm Pehlu Pe Mere Kitne Na Jane Aaye
Taziyana Mere Bazu Pe Laga Jab Baba
Aa Gayi Yaad Madine Mein Mujhe Karbobala
Yaad Abbas Ke Kattay Hue Shane Aaye
Jab Se Bandhi Gayi Haider Ke Gale Mein Rasi
Dekh Kar Zainab O Kulsoom Ko Kehte Hain Yehi
Kash Tum Ko Koi Qaidi Na Banane Aaye
Ghamzada Mere Gharane Ko Dilasa Dene
Koi Mohsin Ka Mujhe Aaya Na Pursa Dene
Log Aaye Bhi Tou Bas Dil Ko Dukhane Aaye
Main Ne Maula Ko Faqat Ye He Wasiyat Ki Hai
Jin Musalmano Ne Mujh Ko Ye Aziyat Di Hai
Koi Un Mein Se Janaza Na Uthane Aaye
Ashk Is Baat Pe Aankhon Se Bahe Jate Hain
Dekh Aayi Hoon Main Darbar Kise Kehte Hain
Yaad Zainab Ki Aseeri Ke Zamane Aaye
Baap Ki Qabar Pe Akbar Woh Ye Keh Kar Royi
Meri Ghurbat Ke Mera Bhai Nahi Hai Koi
Kon Hai Sath Jo Zahra Ka Nibhane Aaye
