Arzoo e Azadar

Zindagi Main Ho Karam Mujh Pe Bh Mere Sarkar
Chota Hazrat Sa Kahain Mujh Ko Bana Dain Zawar

Mola Ake Baar Mujh Izn E Ziyart De Do
Tum Ko Zehra Ke Qasam Mujh Ko Ijazat De Do
Zindagi Kam Hai Bohat Thori Se Muhlat De Do
Mera Saman E Safar Kab Sa Rakha Hai Tayyar

Bab e Saqi e Atash Per Jo Nazar Jaye Gi
Yad Masoom Sakina Ke Bohat Aye Gi
Lash Per Teri Jahan Ro Na Saka Ahl e Haram
Ak Zamana Hai Wahan Aj Tera Matamdar
Jab Sham O Sehar Fatima Zehra Tujha Roye
Abbas Tera Haq Hai Zamana Tujhy Roye

Jhola Asgher Ka Rakha Hai Jahan Ake Hujray Main
Aaisa Lagta Hai Wahan Maa Kisi Ake Kone Main
Chom Kr Khoon Bhara Halqom Sada Deti Hai
Ankhen Tu Kholo Meri Simit Tu Dekho Ak Baar
Koza Le Kar Hathoun Main Wo Tujh Ko Dhondne Jate Hai
Kuch Tu Bolo Ankhainn Kholo Asgher Behan Bulate Hai

Jab Muqam E Ali Akber Per Parhunga Noha
Aye Ge Sughra Ke Rone Ke Madinay Sa Sada
Ajj Bhi Lasha Pe Maa Sehra Liya Roti Hai
Baap Ke Ajj Bh Hai Lash E Jawan Pe Ye Pukar
Apny Lahoo Main Ap Sanwarne Ke Din Na Thain
Akber Jawan Abhi Tere Marne Ke Din Na Thin

Khaimagha Dekh Ke Yad Aye Ga Manzar Sara
Aye Jab Akhri Rukhsat Ko Ghareeb E Zehra
Shor E Giriya Sa Qayamt The Fizaoun Main Bapa
Behan Kehti The Yeh Karte Howe Bhai Ko Sawar
Zainab Ko Har Aik Moar Pe Tarpaye Gi Duniya
Yad Aoga Bhaiya Yad Aoga Bhaiya

Jab Muqam e Kaf e Abbas Pe Jana Hoga
Kaisy Hote Hai Katte Hathoun Sy Dekhunga Atta
Zairoun Ko Yahan Milti Hai Wafa Ke Soughat
Mango Sadqa Main Sakina Ke Sajja Hai Darbar
Dua Tu Mang Sakina Ka Wasta De Kar
Ye Kaise Hoga Ke Abbas Or Atta Na Karin

Tila Zainabiya Per Na Rukka Ga Giriya
Behan Ke Samne Katta Gaya Bhai Ka Gala
Yahan Sa Zainab Ne Churri Bhai Pe Chalte Dekhi
Keh Ke Maqtal Ko Challi Rote Howa Wo Ghamkhar
Kia Guzri Hai Tum Per Kuch Tu Kaho Sadqay Gayi Maa Jai Hai Zainab
Aye Bhai Hussaina Aye Bhai Hussaina

Hoge Jab Nazar e Karam Ghazi Ke Rehan O Raza
Karbala Ja Kay Main Wapis Jo Watan Aounga
Log Pouchen Gaye Mera Haal Main Batlaounga Kiya
Askh Hain Ankhoun Main Or Dil Ko Nhi Milta Karar
Ye Dil Bina Hussain Ke Paye Sukoon Kahan
Dil Karbala Main Reh Gaya Main Agaya Yahan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *