Askari Mola - ZIARAT AND Noha Lyrics

Askari Mola

Ye Gham Wo Gham Hai Ke Dono Jahan Rote Hain
Yateem Aaj Imam E Zaman Hote Hain
Haye Hasan Askari Mola
Aye Bine Zahra Askari Mola
Shah E Samarrah Askari Mola

Haye Qayamat Ki Ghari Aagayi Kaisi
Saaye Se Mehroom Tere Hogaye Mehdi
Hoke Juda Rota Raha Apka Beta
Aye Mere Baba Askari Mola

Kaisa Aseeri Ka Sitam Tum Pe Hua Hai
Tere Liye Ghar Tera Zindan Bana Hai
Maula Tera Ghar Main Hua Dafn Janaza
Haye Ghurbata Askari Moula

Samarrah Har Saal Chale Aate Hain Zawaar
Aap Ka Taboot Uthate Hain Azadar
Farsh E Aza Bichta Raha Bichta Rahe Ga
Lijiye Pursa Askari Mola

Sare Azadaro Ke Lab Par Ye Dua Hai
Wasta Tujh Ko Tere Bete Ka Diya Hai
Dil Main Basa Roza Tera Mehdi Ke Baba
Hum Ko Bulana Askari Mola

Qaidi O Mazloom Mere Gyaarwe Sarkar
Dene Ko Pursa Tumhe Aaye Hain Azadar
Pursa Qubool Ho Aye Mere Syed O Sardar
Hum Log Teri Nazre Karam Ke Hain Talabgar
Gham Ye Tera Dil Main Sada Zinda Rahe Ga
Roti Hai Duniya Askari Maula

Jab Bhi Tere Naam Ki Hoti Hai Ye Majlis
Sath Main Zahra Ke Chali Aati Hain Narjis
Dekh Zara Mehve Buka Hain Teri Zauja
Karti Hai Noha Askari Moula

Parda E Ghaibat Main Jo Beta Hai Tumhara
Bhejein Ussey Jald Pareshan Hai Duniya
Sun Lo Zara Behre Khuda Waris E Kaaba
Hai Ye Ilteja Askari Moula

Mesum O Azlan Pe Bus Itna Karam Ho
Naam Tere Chahane Waalon Main Raqam Ho
Kardo Ata Hum Ko Sila Nohe Ka Mola
Khuwab Ho Pura Askari Moula

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *