Nana Ko Amma Ki Gurbat Suna Ke
Hasnain Jab Aaye Qabr E Nabi Se
Aansu Jo Asma Ki Aankhon Main Dekhe
Shabir O Shabar Tarap Kar Ye Bole
Ye Dil Ghabra Raha Hai
Asma Amma Kahan Hain
Veeran Ghar Hogaya Hai Asma Amma Kahan Hai
Hujre Main Jane Se Kyun Rokti Ho
Tum Khana Khane Ka Kyun Bolti Ho
Maa Jab Talak Khud Khilati Nhi Hai
Hum Khana Khate Nhi Janti Ho
Kuch Tou Kaho Kya Hua Hai
Awaaz De Kar Bulati Nhi Hai
Seenay Se Apne Lagati Nhi Hai
Ro Kar Hasan Ne Kaha Aj Amma
Kyun Samne Mere Aati Nhi Hai
Kya Phir Tamacha Laga Hai
Kya Tham Gaya Dard Kya So Gayi Hai
Kya Hum Se Chup Kar Kahin Ro Rahi Hai
Lekin Unhein Neend Aati Kahan Hai
Sab Pasliyan Jab Se Tooti Hui Hain
Baazu Bhi Toota Hua Hai
Darwaza Pehlu Pe Jab Se Gira Hai
Ruk Ruk Ke Chalti Hain Tum Ko Pata Hai
Hum Sath Jaye Gain Bas Ye Bata Do
Kya Phir Se Darbar Bulwa Liya Hai
Mushkil Bohat Rasta Hai
Mushkil Bohat Hai Wo Manzar Bhulana
Baba Ki Gardan Rasan Se Churana
Haye Dar Hai Kahin Zakhmi Hathon Pe Unke
Mare Na Phir Se Koi Taziyana
Dil Dard Se Phat Raha Hai
Kaise Uthaein Gain Ranj O Alam Ko
Hum Seh Na Paaye Gain Amma Ke Hum Ko
Tasbeeh Ki Kyun Sada Ruk Gayi Hai
Hujre Main Ik Baar Jane Do Hum Ko
Maa Ka Tumhein Wasta Hai
Kyun Aj Kulsoom Ki Aankh Nam Hai
Zainab Ke Chehre Pe Ranj O Aalam Hai
Ik Bar Amma Se Hum Ko Mila Do
Shayad Unhein Maa Ki Furqat Ka Ghum Hai
Chehra Kyun Utra Hua Hai
Aye Joan O Zeeshan Asma Ye Sun Kar
Hasnain Ko Layi Hujre Ke Andar
Jab Maa Ko Beton Ne Be Jaan Dekha
Rone Lage Dono Maa Se Lipat Kar
Bachon Ne Na Phir Kaha Hai

