Ay Shahr e Madina
Jangal Mein Bhare Ghar Ko Luta Aayi Hai Zainab
Abid Ko Kisi Tarha Bacha Layi Hai Zainab
Na Qasim O Akbar Rahe Bhai Bhi Sidhare
Sab He Gaye Mare
Begor Unhe Dasht Mein Chor Aayi Hai Zainab
Haye Wo Shaame Ghareeba Ho Ya Ho Shaam Ka Bazaar
Aabid Rahe Lachaar
Sab Zakhm Isi Qalb Mein Bhar Laayi Hai Zainab
Kya Kya Na Sitam Raah Mein Sadaat Ne Jhela
Main Tujhse Kahu Kya
Baghi Ki Bahan Shaam Mein Kehlayi Hai Zainab
Parda Jo Sikhati Rahi Wo Bibi Khule Sar
Phirti Rahi Dar Dar
Bazaro Mein Darbaaro Mein Ho Aayi Hai Zainab
Aaja Tu Kaneezi Mein Meri Bola Sitamgar
Ayy Shah Ki Dukhtar
Ye Lamha Wahi Tha Jahan Ghabrai Hai Zainab
Zindan Mein Kahin Kho Gaya Bhai Ka Nageena
Masoom Sakina
Do Baaliya Zindaan Se Le Aayi Hai Zainab
Zindan Se Reha Hoke Bhi Baaqi Hai Aseeri
Maatam Kare Tu Bhi
Rassi Ke Nishaa’n Isliye Le Aayi Hai Zainab
Ye Zakhm Mere Qalb Ka Jeene Nahi Dega
Hai Zulm He Aisa
Shabbir Sare Dasht Hai Ghar Aayi Hai Zainab
Puchegi Yehi Fatima Sughra Abhi Mujhse
Akbar Nahi Aaye
Dukhiya Ke Sawaalo Se He Ghabrai Hai Zainab
